Moran Fanfiction part 9 ( monami ko karan ko paresha karne mein ata hai maza)

Let's start from previous scene where karan keeps his hand on his heart and murmer monami....

Karan slowly sit on bed and has a amused look on his face ki koi use itna ache se kaise jaan sakta hai bina sach pta hote hue....

Karan's POV
Rani saheba, what is this? Aapne mujhe pura samaj liya hai ( Surprising yet happy tone) ,matlab bina kuch kahe bina kuch jane aap sab samaj gyi mein aisa kyu hu, mere emotions, mera pain, mere iss behaviour jispe mene khud kabhi dhyaan nhi diya aapne pehchan liya ki iske piche bahot badi wajah hai, na mujhe judge kiya bas samjha ,
Jab aap bol rhi thi toh mujhe lag rha tha aap mere andar jhak sakti hai mein kya feel karta hu, kya feel kar rha hu aapko sab pta hai.... Mujhe laga tha muje koi nhi samajhta but..... Rani saheba aap and he couldn't complete and tears start rolling down his cheeks....

In monu's room
Sid comes and see monu is sobbing he got worried and go and hug her

Sid - monu bacha kya hua, Tu ro kyu rhi hai tu tu us dole shole ke sath thi na usne kuch kha kya haa bol...

Monu- Sid mein use aise nhi dekh sakti ,
While sobbing

Sid - kise kaise nhi dekh sakti monu
Monu- Karan ko Sid ( sidhi bethti hai) pta hai abhi jab mein use open up hone ke liye bol rhi thi uska pain share karne bol rhi thi uski ankho mein ansu aa gaye the bro... Uske andar bohot pain hai bro use us pain ko bahar nikalna hoga i can't see him like that and again start crying hugging him....

Next morning ,
Karan is feeling good and happy knowing the fact that his Rani saheba knows him so well and most imp. Understand him...
And monami is determined ki wo Karan ko uske pain se nightmares se bahar nikalegi as sab uspe confidence bhi dikha rhe the and somewhere she knows that he is very much comfortable with her

At drills,
Monami drills kar rhi hoti hai, karan usko dekhe ja rha hota hai aur sochta hai ki ye ladki kitni alag hai and unknowingly he smiles😊

After drills,
Monu,Sid , bala and their paltan mess mein bate kar rhe hote hai, karan unhe dekhta hai aur unke paas jata hai

Karan- Rani saheba
Monu immediately turns hmmm
Karan- mujhe aap se baat karni hai, chalengi
Monu- yaa aur wo uske sath chali jati hai
Sid- whispering enjoy monu
Monu chalte chalte piche mudte hue use glare pass karti hai aur karan se takra jati kyuki wo raste mein ruk jata hai uske phone pe kuch dekhne lagta hai
Karan paltta hai uski taraf dekhta hai
Monu- sorry niche dekhte hue (cutely)
Karan aur wo bahar ate hai
Karan- Rani saheba evening drills ke baad aap mujhe terrace pe milengi ( like full haq se)
Monu - but kyu mein thak jaungi na cutely bolti hai
Karan - smiles uska intezam mein karke rakhunga tum bas aa jana
Monu- okk, Karan jane wala hota hai uska hath pakad leti hai, tum ab theek ho na
Karan- Karan smiles at her concern, tumhe kya lagta hai
Monu- Karan batao na like a kid
Karan- arey bilkul theek hu Rani saheba aap time se aa jana bye and left
Monu- bye smilingly....

After evening drills, it's lil dark by now
Monu - terrace pe jati hai, Karan Karan kha hai ye lagta bhool gaya hoga
Aur jane lagti hai jaise hi wo piche mudti hai dekhti hai samne se Karan aa rha hota hai hath mein do cup coffee lekar

Karan- sorry thoda late ho gaya
Monu- it's ok but ye kya hai
Karan- tumne hi toh kha tha ki tum thak jaogi toh mein tumhari thakaan ke liye coffee le aaya aur use ek cup deta hai
Monu- smiles thankyou she felt butterflies in her tummy
Karan- betho , wo dono bethte hai
Karan - kaisi lagi
Monu - kya
Karan - coffee aur kya
Monu- hmm nice achi hai, tumne banai hai
Karan- yes
Monu- manna padega agent shergill
Karan smiles at her comment and raise his collars, monu became happy seeing him like this

After sometime monu asks him
Monu- Karan tumhe kuch baat karni thi
Karan - nhi aisi koi special baat toh nhi bas aise hi tumhare sath time spend karke kafi light feel hota hai mujhe (in mind aur bohot khusi bhi) bas isiliye socha tumhe bula lu thankyou monami
Monu- uske  hath pe hath rakhti hai tumne mujhe kaha tha na ki jab bhi mujhe tumhari jarurat padegi tum hamesha mere sath rahoge toh bas waise hi mein bhi hamesha tumhare sath rahungi
Karan- became very happy HAMESHA looking intensly in her eyes
Monu- haa i mean jab bhi tumhe jarurat hogi
Karan thought ab aisa lagta hai ki mujhe hamesha hi tumhari jarurat hai har pal
Monu - Karan kya soch rhe ho
Karan- nhi kuch nhi wo bas aise hi
Monu- chale
Karan- kaha
Monu- mess mein bhook lagi hai
Karan - itni jaldi
Monu- jaldi kaha time ho gya hai Chalo wo uthti hai
Karan- haa wo jane lagti hai Karan uska hath pakad leta hai Rani saheba wo kya hum...
Monu wapas uske pass ati hai
Ok hum roj sham ko milenge ok
Karan surprised tumhe kaise pta ki mein
Monu- I am a mind reader also khadoos shergill
Karan- really
Monu- smiles offcourse , chale
Karan- haa ek min kal se dinner ke baad mile phir jane ki jaldi nhi hogi tumhe,
Monu blushed lil ek min tum kehna kya chahte ho ki mein bhukkad hu
Karan- isme kehna kya it's a fact
Monu- hawww you khadoos shergill tum mujhe bhukkad bol rhe ho
Karan- ye mein kha keh rha hu ye toh tum keh rhi ho , kissed her forehead and left
Monu- mein keh rhi hu mein nhi tum keh rhe ho ek min and goes uske piche
Wo mess mein pahuchte hai
Monu - khadoos sh... Karan use glare karta hai Karan tumne kha
Karan- mene kuch nhin kha
Monu- tumne kha unke dost unki taraf dekhte hai
Faizi - arey monami tsunami aisa kya keh diya janab ji ne ki tum itni gusse mein ho
Monu- tumhe pta hai faizi isne mujhe kha ki mein bhukkad hu
Faizi and Sid - kya dramatically
Karan- oo drama kings drama band karo mene aisa kuch nhi kya kab se yhi bole jaa rhi hai
Monu- what matlab ab tum ye bhi keh rhe ho ki mein jyada bolti hu
Karan- arey
Monu- fine then ab se mein baat hi nhi karungi chup rahungi especially tumhre samne (monu wink at faizi and whole gang, wo bas Karan ko pareshan kar rhi hai)
Karan- arey ye kya baat hui mene kab kha tum khudi kuch bhi bole jaa rhi ho aur koi jarurat nhi hai chup rehne ki tum bolte hue hi achi lagti ho samjhi
Monu looked at him and faizi gives him teasing looks
Karan- I.... I mean jiska jo natural behaviour hota hai usko change nhi Karan chahiye
Monu- haww matlab....
Karan- ooo Rani saheba ye kya apne matlab matlab laga rakha hai uska hath pakadta hai aur use uski desk pe bitha ke ata hai ab chup chap yaha beth ke khana khaiye samjhi he goes to his name table
Monu giggles and everyone control their laughter 
They thought that only she can do this to Karan agar koi aur hota toh wo pehli baar mein hi academy ke bahar hota but Karan monami ke sath bohot carefully and lovably behave karta hai jaise she is a kid who doing masti and he understand her every action

After having dinner everyone left except moran

Monami apni plate counter pe rakhti hai aur Karan uske paas ata hai wo ek ek kadam age badhata hai aur wo piche she touches to the counter wo uske dono side hath rakh leta hai
Karan- ye jo aap kar rhi hai na mein sab samaj rha hu
Monu- fumbling kya kya kar rhi hu mein
Karan- yhi mujhe jaan bujke pareshan karna,monu smile karti hai Karan use dekhta hai kya milta hai tumhe mujhe pareshan karke apne hath hata leta hai
Monu- maja, haye bada maja ata hai mujhe tumhe pareshan karte hue
Karan - shook his head in disbelief ... Kyu kisi aur ko karo pareshan mujeh hi kyun karti ho
Monu- arey har kisi ko pareshan karne mein maja nhi ata waise tum chahte ho ki mein kisi aur ko aise pareshan karu?
Karan kuch nhi bolta, thik hai Chalo ab jao good night Rani saheba and left hurriedly

Monu smiles and goes good night khadoos shergill

Sid and sanjana and faizi and koel ki bhi nazdikiya badh rhi hai mein bas unke scenes ko jyada highlight nhi kar rhi hu.... They all became very special for each other and six of them knows about each other...

Ok thankyou  and sorry for late updates!
💫

Comment