moran fanfiction part 4 ( karan ka sorry and icecream)

Karan is finding a way taki wo apni Rani saheba ko mna sake, wo usse baat karne ki koshish karta hai par har baar monu use ignore karke chali jati hai ya phir koi excuse bna deti hai, ye chiz karan ko under hi under bohot buri lagti hai aur isse bhi jyada use ye hurt karta hai ki wo use sir kehke address kar rhi hai, usse samaj nhi aa rha hota but wo uske muh se apna naam sunne ke liye pareshan hota hai....

It's two days of that incident, aur monami karan ko abhi bhi ignore kar rhi hai aur karan ki usse baat karne ki despiration aur badh rhi hai wo uska ye ignorance game aur nhi khel sakta.

Karan soch rha hota hai ki wo monu se kaise baat kare, tabhi wo dekhta hai ki monu corridor se jaa rhi hai.

Karan- Rani saheba, wo use awaz lagata hai
Monu palati hai aur uski taraf dekh kar jane lagti hai
Karan- please ruk jaiye Rani saheba
Monu chup chap khadi rehti hai..
Karan - Rani saheba wo... Cut by monu
Monu- mera naam monami hai, Rani saheba nhi, ( with cute fake angry tone, kyuki monu ka gussa ab thoda shant hai, but wo hurt bhi hai)
Karan- hesitate karte hue, mo... nami i am sorry....
Monu- kis liye sir....
Karan- monami listen, uss din, uss waqt mein pareshan tha upar se tum baar baar training ki zidd kar rhi thi, phir jab men tumhe wo rope pakde hue dekha toh mujhe laga ki tum phirse rope climbing karne ki koshish kar rhi ho aur mera sara gussa aur frustration tumper nikal gyi kyuki....
Monu - kyuki?
Karan - kyuki mujhe tumhari fikr hai Rani saheba.... Aur uski aankho mein dekhta hai monu toh pehle se hi uski taraf dekh rhi thi🤭
Monu- Karan tumhe pta hai mein tumse gussa nhi thi hurt thi... Tumne mujpe gussa kiya wo toh koi baat nhi uski toh aadat hai mujhe... Tumse daant sunne ki but tumne jo bola jo words use kiye na unhone mujhe bhot hurt kiya ( uski aankho mein aansu hote hai) Tu... Tumne mujhe kha ki mein tum.... he aur baki trainers ko impress karne ke liye ye sab kar rhi hu... She is crying now while sobbing like a child...
Karan immediately uske paas aata hai aur uske cheeks ko cup karta hai aur uske ansu pochte hue kehta hai with guilty face aur uski aankho mein dekte hue
Karan- I am really sorry Rani saheba, I know meri galti hai aur aap uski jo chahe mujhe saja de sakti hai....
Monu use surprised home dekhti hai
Karan - kya hua ( still he cupped her face but they didn't realises it as they are very much comfortable like this, and they are close also)
Monu- kya kaha tumne ki mein tumhe saja de sakti hu, special agent Karan shergill ko with smilingly innocent face...
Karan - De sakti ho ( use abhi nhi pata ki wo kyu uske baat na karne se itna affected kyu tha kyu wo punishment lene ke liye ready hua) suddenly monu thodi movement karti hai aur wo notice karti hai ki karan ne uska face bohot softly cup kar rakha hai uske chehre pe smile aati hai, suddenly
Monu- Karan
Karan- hmm
Monu - tumhare hath
Karan- kya hua mere hatho ko
Monu - kha hai
Karan then realises and release her
Karan- sorry...
Monu - it's ok , haan toh punishment...
Karan- yes!
Monu- pakka
Karan- mein sunn raha hu
Monu- matlab you ready
Karan - Monami
Monu - punishment dedu matlab, backout toh nhi karoge
Karan- ek baar aur pucha toh mein chala jaunga
Monu- no no no wait let me think
Monu satve aasman pe hoti hai, aur ek bright smile 😊 ke sath soch rhi hoti hai ki kya punishment di jaye khadoos shergill ko
Yaha hamare karan shergill monu ko aise khush dekhke smile kiye jaa rhe hai 😃
Monu-  Haaa!
This broke karan's trance
Karan- kya haa
Monu- mujhe icecream 🍨 chahiye 4 tub ice cream haa...
Karan - shocked 😱 4 tub icecream, tum kha paogi , aur ye kaisi punishment hai
Monu- itna shock kyu ho rhe ho, aur mein chaar kya 10 bhi kha sakti hu par abhi ke liye char hi sahi
Karan- ok smilingly 😊 kal tumhe tuhari 4 tub icecream mil jayegi, going to left
Monu - kal, kya kal mujhe abhi chahiye
Karan - abhi itni raat ko
Monu - toh ye punishment kaise hogi, tum abhi jaoge aur mere liye icecream laoge abhi yahi tumhari punishment aur ek aur punishment hai wo ane ke baad, go
Karan - monami mein kal 5 tab icecream le aunga abhi rehne do
Monu - while making annoying and angry face thik hai rehne do... Going to left.... Karan uska hath pakad leta hai
Karan - ok laa rha hu wait karo jab mein aunga tumhe phone karuga aur terrace par aa jana 
Monu- whole jumping with happiness Yayyyy okk done thankyou and left
Karan - Bachi hai bilkul , chal karan while shooking his head
Karan icecream lekar aa rha hota hai aur soch rha hota hai
Ye ladki mujhe itna affect kyu karti, uska naraz hona, uska mera naam na lena, uska mujhe punishment dena aur mera iss tarah pura karna while looking at icecream uski har ek baat kyu mujhe itna affect karti hai, nahi kuch bhi karan Tu kuch bhi soch rha hai tune uspar bewajah chillaya ye iski wajah se hua hai, par pehle toh kisi ki kisi bhi baat ko you don't give a damn Karan ab kya hua,, aaa ye Rani saheba khud toh pagal hai hi mujhe bhi kar rhi hai ye icecream lejake dede use aur soja chal monami use call karti hai
Monami - Karan kha ho abhi tak nhi aye
Karan- Rani saheba ye apka tisra call hai in 20 min mein ( monami ne use use pehle bhi do baar call kiya tha ye puchne ke liye ki kya usne icecream leli) bola na aa rha hu aur leli hai apki icecream aa rha hu have patience
Monu- wahi toh nhi aa rha hai, kitni der mein phuchoge
Karan - 15 min aur ab mein call karunga kyuki aapne kiya toh mujhe gadi rokni padegi aur phir ham issi tarah ladai karenge aur apki icecream bechari yahi pani pani ho jayegi
Monu-  no no no bye jaldi call karna haa and cut the call, he smiles at her  childish behavior....... He reached academy..

He calls monami, she picked up before a second
Karan -  hadd hai Rani saheba, aa jayiye apki icecream aapka wait kar rhi hai 😃
Monu cut the call and ran towards the terrace faizi use bhagte hue dekh leta hai
Ye itni jaldbazi mein kaha bhage ja rhi hai aur bhot khush bhi lag rhi hai aur ye karan kha hai....

Baki ka next part mein

Comment