Kartik's Birthday πŸ₯³β€οΈ

At Delhi Airport

K – finally delhi pahuch gaye hum

Kh – mera toh mann kar raha hai ki jaldi se ghar jake fresh hoke so jaau

K – me too

Kh – tum jaldi se cab book karo

K – ha.. (he booked a cab.. it came in few minutes.. soon they were at mm)

At MM

Ri – aa gaye dono

Kh – maa.. ab jaldi se dinner dijiye.. bahut bhook lagi hai

A – pehle fresh ho jaav

K – ha.. by the way sabke liye kuch na kuch laya hai.. badme dunga

D – toh ja jaldi fresh hoke aa.. mujhe bhi dekhna hai mere liye kya laya hai tune

K – ok dadi

Both Freshed Up And Then Had Their Dinner

At Late Night.. Kartik Was Sleeping But Khushi Wasn’t As She Wanted Discuss About His Birthday Party Plan With Everyone

Kh – (she got up and checked whether he is sleeping or not) lagta hai so gaya.. accha hua.. (she looked at clock.. it was 12’O clock) happy birthday kartik.. sorry.. tumhe aise wish karna pad raha hai but I am damn sure jab tumhe surprise milega na tab bahut khush ho jaoge tum.. (she caressed his hair and then slowly left the room) maata raani kartik jag na jaye bas.. (just then ishqi entered there)

I – khudse kya baat kar rahi hai.. chal na..

Kh – ha chal (they moved to ishqaan’s room.. everyone was there)

Ri – khushi kya plan hai ?

Kh – ok so plan ye hai ki hum me se koi bhi kartik ko subah wish nahi karega

A – kya.. lekin kyu

Kh – bhaiya puri baat sunenge aap

I – kyu tok rahe hai bichari ko aap avm.. aap chup rahiye na

A – sorry.. continue khushi

Kh – agar humne aisa kiya na toh shaam ko jo kartik ko jhatka milega na usse vo bahut jyada khushi ho jayega

I – right

Kh – I know usse bahut bura lagega..

Ri – koi na shaam ka surprise dekh ke maan jayega.. vaise shaam ko kya karna hai

Kh – pehle toh hume kartik ko afternoon me kahi bahar bhejna padega.. varna hum tayari nahi kar payenge.. aur ye responsibility bhaiya apki

A – main

Kh – ha aap

A – main kaise ?

Kh – office lekar jaiye usse.. vahi best idea hai

A – tumhe lagta hai vo office aayega

Kh – ha toh kuch aur kariye.. lekin ye apko dekhna padega.. I don’t know anything

A – fine

Kh – maa, badi maa aap dono pe kitchen ki zimedari hai.. kartik ke saare favourite dishes aap banayengi..

Ri – ok

Sa – done

Kh – papa aap mujhe aur ishqi ko decoration me help karna

Ka – chalega

Kh – ishqi tum bhi mujhe decoration me help karna aur mere saath pehle toh shopping pe chalo.. sab samaan lana hai

A – kal main office nahi jaunga toh kartik ke saath kahi ghumne chala jaunga toh hum busy rahenge

Kh – perfect

I – kya perfect.. tumhe nahi pata.. iss admi ke pet me kuch nahi rehta.. agar ye kartik ke saamne kuch bol bethe toh

Kh – bhaiya plz.. aisa kuch mat kariye

A – hmm

Kh – by the way kisko kisko bulaana hai

I – sonu-raj aur sarla aunty aa rahe hai.. maasi bhi aa jayegi.. aur kartik ke kuch college friends

Kh – ok.. vaise kitne saal ka hoga ye ab

Ri – 28 saal ka

Kh – woah.. mujhse 2 saal bada hai.. lekin harkate iski baccho jaisi hai

Ka – tum bada kardo usse

Kh – vo toh main karke rahungi

just then they heard a knock at door

Kh – oh shit kahi kartik toh nahi hai

Kartik was at the door

K – bhaiya.. bhabhi

Kh – oh no.. kartik.. ye yaha kya kar raha hai

I – ab kya kare

Kh – sab log chup jaav

A – ha.. main kaha chupu

Kh – ye aapka hi room hai.. apko nahi chupna hai

(everyone hid behind the bed.. ahaan laid on the bed and acted as if he is sleeping.. ishqi opened the door)

I – (yawned) kartik.. tum itni raat ko yaha..

K – bhabhi khushi yaha hai kya

I – nahi toh.. khushi yaha kyu hogi.. kyu vo room me nahi hai

K – nahi

I – toh kitchen me gayi hogi paani pine.. vaha dekhke aav

K – right.. main aata hu.. sorry disturb nahi kiya na maine

I – nahi.. good night

K – good night (he left)

I – hushhh.. khushi tum ab jaldi se room me jaav.. maine kartik ko kitchen me bhej diya hai

Kh – ok.. maa papa aap bhi chaliye varna ye apke room me bhi chala jayega

Ri – ha

The trio walked to their respective rooms

Here kartik didn’t find khushi in kitchen so he again returned to his room and saw khushi sleeping

K – main yaha isse dhund raha hu.. aur ye so rahi hai.. khushi

Kh – (she opened her eyes) kya hua

K – tum yaha kaise

Kh – what do you mean.. ye hamara kamra hai

K – mujhe bhi pata hai.. kaha thi tum

Kh – main kitchen me gayi thi

K – toh mujhe tum kaise nahi dikhi

Kh – mujhe kya pata.. tum kitchen me aane se pehle kahi aur gaye the

K – ha.. bhaiya bhabhi ke room me

Kh – oh.. toh shayad tab tak me humare room me aayi thi

K – ho sakta hai..

Kh - tum kyu inspector ban rahe ho.. so jaav na

K – ha.. good night (in mind – kamaal hai.. 12 bajke 15 min ho gaye.. na mujhe bhabhi ne wish kiya na khushi ne.. so jaa kartik.. kal maa jaroor wish karegi tab sab log karenge.. tab tak tu hi khudko birthday wish kar.. happy birthday kartik)

Next Day

At Breakfast Table

Kartik was shocked as even ritu chachi didn’t wish him.. he was thinking why no one is wishing him..

K – mummy

Ri – ha

K – aaj kya date hai

Ri – kyu

K – arey batav na

Ri – mujhe yaha khudko dekhne ke liye time nahi hai.. mujhe nahi pata aaj kya date hai

K – papa apko pata hai na aaj kya hai

Ka – ha pata hai.. aaj match hai na..

K – papa yaar.. chodo

A – kartik aaj main office nahi ja raha hu aur mujhe na ek friend ke paas jaana hai toh tu mujhe company dega

K – ok.. vaise khushi tum office nahi ja rahi ho

Kh – ja rahi hu

K – as per my information.. tumhare jaane ka time yahi hai

Kh – aaj main late jaane wali hu..

K – oh

A – tu ja.. jaake ready ho ja..

K – khane toh dijiye

A – ha..

K – (In mind – bhai ko bhi yaad nahi hai.. kaisi family hai meri.. dadi toh aaj ek shabd nahi boli.. shayad inhe yaad ho) daadi

D – ha

K – aaj kuch hai kya

D – kya chal raha hai tera.. aaj kya hai.. aaj kya hai.. shaanti se khaane de

K – theek hai (in mind – inko bhi yaad nahi hai.. aaj toh tera birthday aise hi jaane wala hai kartik)

After breakfast.. ahaan took kartik with him somewhere.. ishqi and khushi went for shopping..

Ishqi and khushi bought some things for decorations and then they went to a mall to buy blazer for kartik..

I – khushi ye black colour ka blazer accha hai na

Kh – ha accha hai lekin black colour ke bahut se kapde hai uske paas.. I think blue colour will look best.. vaise bhi uska favourite colour toh blue hai

I – oh.. toh kaafi jaan gayi hai tu usse..

Kh – ais..aisa.. k..kuch..nahi hai

I – sab samajh rahi hu main.. vaise tum logo ka kya chal raha tha honeymoon pe..

Kh – kya

I – I mean.. tum log ek dusre se pyaar karte ho ye mujhe kyu nahi bataya

Kh – kya bol rahi ho tum.. aisa kuch nahi hai

I – accha toh usse din jab maine tumhe call kiya tha tab kartik kya keh raha tha tumse

Kh – kya

I – ab ye kaise bolu main

Kh – kya keh raha tha vo

I – tumhe..shirt.. shirt nikalne ke liye

Kh – (she kept her hand on her mouth) sshhhh.. chup karo.. dekho maine bas kartik ki shirt pehni thi isliye vo mujhse ye keh raha tha.. pagal ladki kuch bhi samajhti ho (removed her hand from her mouth)

I – ohh.. mujhe toh kuch alag hi laga

Kh – mere aur kartik ke beech me aisa kuch nahi hai

I – main nahi maanti.. I am damn sure.. you both have feelings for each other.. tum logo ki aankho me dikhta hai vo

Kh – kuch bhi

I – kuch bhi nahi.. sach keh rahi hu.. aur vaise bhi kartik ko kaise tumse pyaar nahi hoga.. jaisi ladki kartik ko chahiye thi tum vaise hi ho..

Kh – accha.. kaisi ladki chahiye thi kartik ko

I – kaha na.. tumhare jaisi

Kh – really

I – main jhoot kyu bolungi

Kh – vo sab chodo abhi..

I – ye batav na ki tum topic change kar rahi ho

Kh – ji nahi.. humare paas vakt kam hai.. shopping karni hai

I – ha.. (just then she saw something which made her shock) khushi

Kh – hmm

I – kartik aur avm.. yaha

Kh – what (she turned and saw them) oh no.. ye yaha kya kar rahe hai

I – ye avm bhi na.. inhe yahi laana tha kya kartik ko..

Kh – ab kya kare

Unfortunately kartik also saw them

K – bhai.. bhabhi aur khushi dekho vaha hai

A – (he looked at the direction where kartik pointed)(in mind – oh no.. ab kya karu main) kaha hai.. koi toh nahi hai vaha

K – arey hai na.. vo dekho samne

A – koi bhi toh nahi hai

K – aap chaliye vaha pe

A – nahi.. kyu

K – chaliye (they both went near them so khushi and ishqi remained like statue)

A – kaun hai yaha…

K – ye kya samne hai

A – dekh tujhe khushi nazar aa rahi hai.. theek hai.. pyaar me hota hai aisa.. lekin tujhe ishqi bhi nazar aa rahi hai

K – kuch bhi bhai.. ye kya samne hai.. apko nahi dikhayi de rahi hai

A – nahi baba.. koi nahi hai.. vo dekh kartik vaha kya hai

K – kya (he turned to other side so ishqi and khushi took advantage of this and left from the place quickly) kuch bhi toh nahi hai (he again turned to ahaan)

A – vaise hi… yaha bhi koyi nahi hai.. dekh

K – arey abhi toh yahi thi dono

A – waah.. aise kaise gayab ho jayengi dono

K – maine dekha tha

A – kartik tu overthink kar raha hai.. shayad hume kahi aur jaana chahiye.. yaha pe aake tera dimag hil gaya hai.. chal tu yaha se

K – lekin bhai

A – tu chal main keh raha hu na..

K – theek hai.. (they both gone)

Kh – bach gaye

I – ab jaldi se shopping karke nikal jaate hai yaha se

Kh – ha..

They did their shopping and went back to mm

It was time for surprise

Decoration was done.. ahatik were outside the house..

K – (he rang the bell.. someone opened the door.. when they both entered they couldn’t see anything as it was completely dark in the room) itna andhera kyu hai.. bhola.. bhai itna andhera kyu hai.. bhai (he didn’t get any reply from him) ye bhai kaha hai… koi hai

Just then the lights turned off and everyone shouted β€œHappy Birthday Kartik”

K – (he was surprised) matlab tum sabko yaad tha

I – ji ha.. ye sab plan tha humara.. I mean.. tumhari wife ka..

K – (he looked at khushi and she nodded) tabhi main sochu kisiko mera birthday kyu nahi yaad hai

Kh – ab bas ho gayi baatein.. saare guests aa gaye hai.. bas humara birthday boy ready nahi hai.. jaav jake ready ho jaav..

K – ok.. I will be back in 5 min (he was going but then he took khushi with him.. nobody saw them as everyone got busy in their own work)

In Karshi’s Room

Kh – tum mujhe kyu yaha leke aa gaye.. kuch help chahiye

K – nahi

Kh – toh

K – thank you

Kh – kis liye

K – surprise ke liye

Kh – birthday hai aaj tumhara.. toh ye banta hai na.. ab tum ready ho jaav.. mujhe kuch arrangements dekhne hai (she was about to go but kartik held her wrist.. she looked at him) kya hua

K – actually maine tumhare liye ek dress laya hai.. and I want to see you in that dress.. abhi..

Kh – kartik I am ready.. ab firse kyu change karu main

K – mere liye.. plzz.. tumne mere liye ye blazer kharida hai main pehen raha hu na.. toh tumhe bhi ye dress pehen ni padegi

Kh – ok.. dress do

K – (he handled her the dress)

Kh – main change karke aati hu tab tak tum bhi ready ho jaav

K – hmm

Then Khushi changed the dress and kartik also got ready.. khushi came in front of him wearing the dress he gave.. he was mesmerized by her look.. same with khushi.. he was looking damn hot.. just how she imagined..

Β  Β  Β  Β  Their Outfits

K – bahut khoobsurat lag rahi ho

Kh – tum bhi bahut handsome lag rahe ho…

K – ab chalein.. Mrs. Kartik Malhotra

Kh – ji Mr. Kartik Malhotra

Precap – Khushi’s Jealousy

Β 

Β 

Β 

Comment