Interview 😶

Next Day
Khushi Woke Up First And Freshen Up…. As She Hasn’t Did Shopping Yet She Had Not Any Dress Except Sarees So She Had Not Any Other Option But The Problem Was Her Hand… Which Was Fractured So She Was Not Able To Wear Saree…
Kh – (in mind – kya karu ab main… idea! Ishqi.. par mera phone to bahar hai.. kartik ko batana padega… lekin main aise bahar kaise jaau ?... saaree dhang se bhi nahi pehni hai.. par sirf pleats karna hi to baaki hai… ek kaam karti hu kartik ko uthane se pehle hi warning deti hu… ha ye best hai.. )(she went outside.. stood near kartik and shook him) kartik utho bas aakhein mat kholna
K – what are you saying… utho bhi aur aakhein bhi mat kholo.. what rubbish khushi (he sat on bed and opened his eyes so khushi quickly turned to other side)
Kh – idiot kaha na.. aakhein mat kholo… maine poori saree nahi pehni hai
K – (he closed his eyes) oh sorry.. ek min.. par tum aisi kyu ghum rahi ho..
Kh – haath fracture hai kaise saree pehnu
K – yrr to mat pehno na saree.. dress pehen lo
Kh – hahaha… as if itni akal mujhme hai hi nahi
K – kya problem hai
Kh – maine abhi tak koi dress buy nahi kiya hai.. sirf sarees hai mere paas.. tum plz ishqi ko bulao na meri help karne ke liye
K – actually bhai aur bhabhi kal raat ko mujhe batake kahi gaye hai ghumne.. aur vo aaj shaam aane wale hai directly..
Kh – what to ab main kya karu
K – maa ya badi maa ko bulata hu na
Kh – idiot.. vo yahi bolengi ki kartik ki help lelo because they think that we love each other and ye shaadi asli hai
K – vo bhi hai
Kh – to kya karu ab main
K – main help karu ?
Kh – what!?
K – I swear main aakhein nahi kholunga.. tum bas mujhe guide karti jaao
Kh – o..oka..okay
K – (he stood up)
Kh – ye pakdo aur iske pleats banao
K – okay (he made the pleats.. all the time he was closing his eyes and nervousness was clearly seen on his face.. seeing his this face khushi chuckled)
Kh – itna darte ho mujhse ki itna nervous ho rahe ho
K – pehli baar kar raha hu main ye
Kh – oh hello main bhi pehle baar kisi ladke se saree pehen ne me help le rahi hu…
K – ban gaye pleats
Kh – thank you.. (she settled her saree and was ready now) kholo aankhein
K – hmm (he opened his eyes) main ab fresh ho jaata hu
Kh – okay
And That’s How Some Days Passed.. Khushi’s Hand Was Now Okay
One Day
Kh – kartik… aaj main interview ke liye ja rahi hu
K – main chod du..
Kh – okay..
K – khushi
Kh – hmm
K – are you nervous ?
Kh – yes
K – yaha betho (he held her shoulders and then made her sit on bed) dekho I know aise vakt pe tum nervous ho sakti ho.. and its normal.. but jitna tum nervous ho jaugi utna tum demotivate ho rahi ho khushi.. you are gonna give your best.. yahi mann me rakho.. samne wala bhi tumhe notice karega.. so don’t worry sab theek ho jayega.. okay ?
Kh – hmm
K – take a deep breathe and calm down yourself
Kh – (she took a deep breathe)
K – better ?
Kh – yes
K – chale ?
Kh – ha
Later He Dropped Her To Office And Wait For Her.. After Giving Interview She Came Back
K – kya hua ?
Kh – kartiiikkk (she hugged him)
K – itna khush ho.. it means pakka accha gaya hai interview
Kh – (broke the hug) accha nahi bahut accha
K – what do you think ? kya hoga?
Kh – pata nahi kyu but mujhe strong feeling aa rahi hai… mujhe ye job bilkul milegi
K – lets hope for the best… by the way.. aaj tumhara itna accha mood hai to dinner pe chale?
Kh – done.. chalo ghar chalte hai
K – madam.. dinner pe jaana hai na ?
Kh – yarr aise thodi na jaungi… kitni gandi lag rahi hu
K – aisa kuch bhi nahi hai.. tum har outfit me perfect lagti ho
Kh – oh really
K – ab yaha bethke baate karni hai ya chale ?
Kh – to maine kaunsa tumhare haath-pair bandhke rakhe hai.. chalo
K – ajeeb ho tum
Kh – I know that
Then They Returned To Malhotra Mansion… And Got Ready For Their Dinner Date
K – khushi mera tie kaha hai ?
Kh – kartik main make-up kar rahi hu… don’t disturb me (while applying mascara)
K – bas bata do kaha pe hai..
Kh – itna kyu saj-dhaj rahe ho.. dinner pe ja rahe hai sirf
K – accha to tum kyu itna make-up thop rahi ho.. oh ha.. you are right.. agar make-up nahi kiya to bhootni jaisi lagogi na
Kh – shut up kartik…
K – sach kadwa hota hai
Kh – (she came close to him… took out the tie from his cupboard and tied it to his neck tightly)
K – (while coughing) kya kar rahi ho ?.. jaan lene ka irada hai kya ?
Kh – ji ha..
K – khushi chodo
Just Then Ishqaan Entered There And Saw Them
I – oye khushi kya kar rahi hai ? chod usse (they both separated them)
A – koi aise bhi jhagda karta hai kya
Kh – bhaiya ye bandar mujhe bhootni bol raha hai
A – kartik
K – aap humesha iski side kyu lete ho
A – meri behen hai.. main ussi ki side lungi
Kh – love you bhaiya (she side hugged him)
K – bhai aapne mujhe paraya kar diya
I – devar ji.. main hu na aapke saath (she pulled his cheek)
K – that’s like my bhabhi
A – by the way tum log itne ready hokar kaha ja rahe ho ?
K – dinner pe
I – you mean dinner date pe
Kh – waisa hi kuch samjho
A – okay you guys enjoy
K – aap yaha kyu aaye the
A – vo main khushi se milne aaya tha uska aaj interview tha na
Kh – bhaiya interview bahut accha raha.. isliye to humne dinner ka plan banaya
I – matlab job pakki
Kh – unke reply ka wait kar rahi hu
A – I am damn sure.. tumhe ye job milegi
Kh – hope so
I – chalo ab tum log tayar ho jaao.. aur ye bhi bata do aaj raat ko aane wale ho ya
A – raat bhar bahar hi rehne wale ho.. I mean any special plan (he said teasingly)
K – bhai yarr
A – accha sorry…
I – isko aise chidana chahiye.. yaad hai hume kitna chidaya karta tha
A – ha na
Kh – mujhe tum log kabhi aapke love story ke baare me batate hi nahi ho… kabhi batao na
A – bahut lambi kahani hai.. par kisi din pakka sunayenge
Kh – okay
I – ab niklo.. late nahi ho raha.. (to kartik) aur tu.. tie pehen liyo
K – ha bhabhi
Then They Went To A Hotel And Settled Themselves On A Table
K – kya khaogi ?
Kh – chinese
K – okay.. excuse me waiter
Waiter – yes sir
K – order likiye (he gave the order and soon it came)
Kh – ummm.. what a taste man
K – accha hai na.. isliye main hamesha yaha se hi order karta hu
Kh – bahut accha hai yaar… matlab jaisa mujhe accha lagta hai vaisa hi.. spicy
K – tumhe accha laga na bass
Kh – kartik ek baat puchu
K – ha pucho
Kh – dekho main bas aise hi puch rahi hu tum bura mat maano ya mujhe galat mat samjho
K – bolo na
Kh – tum apni life me kya karna chahte ho.. I mean tumhara kuch decide hua hai ?
K – that is the problem khushi.. mujhe abhi tak ye samjha nahi hai ki main kya karna chahta hu.. I am so confused… but ek to mujhe pata hai ki ye business and all ye mujhse nahi hoga infact I am not interested in this… par aisa nahi hai ki main kuch karna hi nahi chahta.. main khudka naam banana chahata hu… zindagi me kuch bada karna chahta hu.. par maine abhi tak mera goal kya hai.. yahi decide nahi kiya… ghar ke sab kehte hai ki bhai ke saath office ja.. lekin mujhe ye sab nahi karna..
Kh – (she kept her hand on his hand) its okay kartik.. its fine.. dekho ek na ek din to tumhe zaroor samajh me aayega ki tumhe apni zindagi me kya karna hai.. aur maata raani hai na.. vo sab theek karegi.. okay ?
K – hmm.. dessert khaye ?
Kh – chalega…
Precap – Celebration

Comment