Part 13

In the next day.

Murtasim discharged from hospital.He is coming home with Meerab.Bhabi begum said;

Bhabi begum:Aab Meerab aa gayi hai mera beta jaldi jaldi thik ho jayega.
Murtasim:Thik kaha Maa.Yehi to hai mera asli dawa.
Bhabi begum:Aab kabhi chodke mat jaana Meerab mere bete ko.
Murtasim:Agar yeh jaye bhi na to pakad ke rakh lunga.Kahin nahi jaa payegi.

Haya bowling to anger and looks at them.

Bhabi begum:Jau beta Murtasim ko kamre mein lee chalo.
Meerab:Ji Maa.

In the room.

Meerab checked the medicine and said;

Meerab:Ap ko bohot sari dawai time to time lene padega.External chot to jyda nahi hai par internal hai.Is liye aap ko khane pine ka khas dyan rakhna hai.Ayi Baat samaj mein.
Murtasim:Ji haa.Lekin Mujhe dawai ki jarurat nahi.Tum pas rahoge to mein turand thik ho jaunga.Mera dawai to tum ho.
Meerab:Murtasim yeh kou film nahi hai real life hai.Jaha thik hone ke liye dawai leni padti hai.
Murtasim:Kuch bhi kaho tum bas paas raho mera.
Meerab:Murtasim Mujhe aap se kuch baten bhi karni hai.
Murtasim:Haa bolo.
Meerab:Hua yeh hai ki.....

Then Haya entered the room with food trolley and said;

Haya:Tumhare liye khana leke aya hu Murtasim.Aaj mein tumhe apni hathon se khilaunga.
Murtasim:Meri biwi ke hote hui tumhare fiqr karne ki bhi zarorat nahi.
Haya:(with laugh) biwi.Yeh wohi biwi hai jo tumhe chod kar chali gayi thi.Jaane ke baad tumhe mud kar bhi nahi dekha.Aab ayi hai mohabbat jatane.
Murtasim:Jo hua hai woh hum dono ka personal matter hai.Aur mein nahi chahta koi baharwali hum dono ke bich interfare kare.Is liye apne khana lekar dafa ho jau yaha se.
Haya:Murtasim mein tumhara dost hu.
Murtasim:Nikal rahe ho yaa dakke marke nikalu.

Meerab smiles on her.And Haya left the room.

Murtasim:Mere liye biriyani banao aaj.
Meerab:Abhi?
Murtasim:Haa abhi Mujhe khana hai woh bhi tumhare hath se.
Meerab:Bilkul bacchon jaise harqat hai aap ki.

And Meerab goes to kitchen to make some biriyani.

Murtasim thinks;

"Tumne jo kiya hai na Haya uske liye tum bohot badi saza deserve karte ho.Bas kuch din sabr karlo.Mein thik ho jau Aur tumhare khilaf saboot ikhatta karlo.Tab tak khush reh lo."

In the kitchen.

Zohra:Aab ghar ko ghar laag raha hai.Ghar ki malkin jo aa gayi hai.Aab tak to makan tha yeh ghar.Khan bhi nahi aap bhi nahi.Kabhi mat jaana aab khan ko chodke.Aap ki jaane se hi to khan ke zindegi mein khatra ayi.
Meerab:Purani baton ko chodiye.Saman nikale Aap ki khan ke liye biriyani banani hai Mujhe.
Zohra:Thik hai bibiji.

When Meerab is making biriyani,Haya comes to her and said;

Haya:Pata nahi kya jadu kiya hai usse?Aate hi sabko bhul gaya woh.
Meerab:Is ko mohabbat kehte hai Haya.Jo tumhare samaj mein nahi aati.
Haya:Khush ho jao jitna khush hona hai.Ant mein Murtasim mera hi hoga.
Meerab:Hay Haya ki yeh behayai.Tumhare naam haya kisne rakha hai.Haya naam ki koi chij hi tumhare paas nahi hai.Dusron ke shohar par nazar dalnewali aurat ko pata hai na mashre kis naam se bulati hai.Abhi bhi waqt hai baj aa jao.Warna....
Haya:Warna kya karoge?
Meerab:Murtasim ne to sirf kamre se nikala hai mein tumhe ghar se nikal dungi.
Haya:Mujhse yaha se nikal ne wali tum hoti kon ho?
Meerab:Meerab Murtasim khan.Khan parivaar ki bahu.Aur iss ghar ke malkin.Murtasim ne shaadi ke baad hi Mujhe bola tha yeh ghar meri hukum se chale ga.Jo mein kahungi woh hi hoga.Is liye agar mein tumhe is ghar se beizzat karke bhi nikalu.Koi Mujhe Kuch nahi bolega.Samaj mein aayi meri baat.

Haya blister to anger.

In the room.

Meerab:Khana kya yaha kayenge yaa niche chalenge.
Murtasim:Yaha hi lee au.Lekin abhi nahi thodi der baad.
Meerab:Thik hai.
Murtasim:Tum Mujhe kuch batanewali thi pehle.
Meerab:Haa Murtasim woh..
Murtasim:Kya hua?Mujhe ghabrat ho raha hai jaldi bolo.
Meerab:Kuch din se meri tabiyet kuch thik nahi hai.
Murtasim:Kiya hua hai tumhe?Humesha bolta hu na pehle khudka dyan rakho Lekin tum suno to tab na.
Meerab:Pehle meri Baat khatam to hone de.
Murtasim:Bolo.
Meerab:Meri tabiyet kharab Mujhe yeh symptoms de rahe hai ki...
Murtasim:Kya?
Meerab:Shayed mein pregnant hu.
Murtasim:(With excitement) Kya? Sach Meerab mein baba bannewala hu.

With excitement,Murtasim felt pain in his hand.

Meerab:Maine aab tak test nahi karwayi hai.Itna khush mat ho.
Murtasim:Doctor ke paas jaana hai?
Meerab:Nahi mere paas kit hai usse karungi.
Murtasim:To dekh kiya rahi ho.Karo na.

Then Meerab goes to washroom to test.

Murtasim is eagerly waiting for her.

When Meerab comes out from washroom,Murtasim asked;

Murtasim:Kiya aaya results bolo na.
Meerab:Positive hai.
Murtasim:Yaa Allah aap ka shukr hai.Mein bap bannewala hu Meerab.

He wants to dance with excitement but unable to do for bandage.

Meerab:Khush hai aap?
Murtasim:Bohot jyada.Yeh bhi koi kehne ki Baat hai.
Meerab:Aap ko to mujh par bharosa hi nahi Phir bhi itne khush.
Murtasim:Maf kardo yaar gunah ho gaya tha Mujhe.
Meerab:Kaise maf kardu.Murtasim aap ne Mujhe bewafa bola.Meri mohabbat meri wafadari pe ungli uthaya.Mujhe aise aise ilzam lagaiya jo Maine kiya hi nahi.Kaise bhul jao sab kuch.
Murtasim:Bohot sarminda hu apne harqat par.Jo saza dogi manzur hai Mujhe.
Meerab:Aap se mein itni mohabbat karti hu ki saza dene ka maan hi nahi karta Aur dusri taraf aap ki kahi hui Baat ko bhi nahi bhul pa ra.Mein kya karu Murtasim?
Murtasim:Mere ankhon mein kisi ne jhoth ka patti band liya tha.Bina kuch sacchai jane Maine uspe Yakeen kiya.Mujhe laaga dost hai is liye mera fiqr hai.Lekin Maine usse pehchan nahi paya.
Meerab:Aap ko pata hai woh kon hai?
Murtasim:Hum dono ko hi pata hai woh kon hai.Lekin mein usko saza dene ke liye sahi waqt ka intezar kar raha hu.Bharosa rakho mujh mein.Tumhari sare anshun Aur aziyat ka badla lunga.
Meerab:Khair chode,Maa ko bata ke aate hai.Khush ho jayenge unke pota Aur poti ki bade mein sunkar.
Murtasim:Abhi nahi.Mujhe dar hai koi tumhe Aur humare bacchen ko chot poucha sakti hai.Is liye jab tak mein na kahu tum yeh kisi se bhi nahi bologe.
Meerab:Thik hai.

Comment