6~Demon Identity Unfolded

Next day, after the performance, Tara and Dhruv decided to go together to the temple so they drove off towards there and halted the car. They stepped down. She forwarded her hand before him surprising him.

T~chalein?

Dh~hmm, chalo

He said and held her hand, they walked towards the temple and both step over the stairs.

Dhruv began to feel dizzy, he felt as if his whole body was on fire but the duo kept ascending the stairs and just as they stood before the idol, there was fire all over Dhruv's body. Tara was shocked.

T~hey Bhagwan, ye kya ho raha hai?

Dh~Tara, mujh se ye dard bardaasht nahi ho raha, mujhe yahan se le kar chalo

T~okay, chalo

They exited the temple and he descended the stairs by much difficulty and as they were out, they were in a shock.

T~ye kya ho raha tha Dhruv? Kiun tumhare jism pe aag lag gayi Bhagwan ki moorti ke agay jaate he? Kiun tum wahan 2 minute nahi ruk paaye?

Dh~bachpan se Tara, bachpan se he main bhajan, pooja, ye sab bardaasht nahi kar paata, lekin sab ke saamne acting karni parti hai, warna tarah tarah ke sawaal and all. Sab shak bhi kartay hain ke jism mein koi buri aatma hai aur phir woh ilaaj, mujhe nahi pasand khud ko weak dikhana. Aur tum jaanti ho ye sab kiun ho raha hai? Isliye, kiun ke hum ne is dharti pe janam zaroor liya hai, lekin hum dharti ke insaano'n jaise nahi hain, hum kuchh aur he hain Tara. Jo humare saath hota hai, woh kisi aur ke saath nahi hota, na koi kisi ki chot bharta hai tumhari tarah, na meri tarah kisi ke jism pe aag lagti hai Bhagwan ke aagay. Na he koi aisi bijlee jaisi raftaar mein bhaagta hai, na kisi ka khoon dekh kar dil machalta hai.

T~aur koi kisi ko chhoo kar ye bhi pata nahi laga sakta ke koi kya soch raha hai.

Dh~ye bhi hota hai tumhare saath?

T~haan

Dh~woah, means first day tum ne sab suna jo maine kaha tha

T~of course

He blushed.

Halchal kaheen
Dhadkan naheen
Ye hai galat ya sahee

She smiled at him.

Saansein meri
Bas mein nahi
Bas ho raha hoon
Bekaboo.. Bekaboo
Karti hai mujhe tu aise kiun

They had an eye lock.

Bekaboo..
Karti hai mujhe kiun aise tu

They both were completely lost in each other, surroundings never bothered them, it was as if there was no world besides them. Tara looked down while blushing breaking the eye lock.

Dh~suno, ek kaam karte hain, hum alag alag creatures ke rehasay parhtay hain, kuchh cheezein match kar jaaein kya pata

T~great

Dh~maa baba ne kaha tha is waqt woh ghar par nahi hongay, un ka mood hai shopping ka bohat ziada, toh let's go then

T~okay

They sat in his car and drove off to his house. After a short drive, they reached and halted the car. They stepped out, he unlocked his house and they stepped inside, he closed the door. They walked to his room and they sat down. He switched on the laptop and they went through every secret but at the end, the only secrets were left of demons and fairies. Dhruv read about demons.

Dh~jahan har praanee ko ek achha khaasa lok mila, wahan rakshaso'n ko mila har lok se mehroom jahannum. Jahannum mein he rakshas raha kartay hain, aur kuchh rakshas insaani roop dhaaran kar ke bhi dharti par raha kartay thay. Rakshas laakh shakti shaali sahi, Bhagwan ki shakti ke aagay us ki shakti kuchh nahi, woh mandir mein parvesh kar bhi le toh us ke jism par aag lag jaati hai. Kuchh saalo'n pehle tak, dharti par rakshas raha kartay thay, lekin ek din ek pari ke shraapt ke kaaran ab is dharti par koi rakshas nahi rehta, dharti jaise rakshaso'n se shraapt mukt ho gayi ho.

T~jism par aag lagna, ye toh tumhare saath hua na?

Dh~haan... Rakshas khoon ko dekh kar nahi reh paatay, jahan khoon dekha wahan un ke sar bhoot sawaar ho jaata hai, un ka asli roop saamne aane lagta hai. Naso'n ka ubharna, lambay janwaro'n ke jaise daant nikal aana, naakhuno'n ka bara ho jaana, ye sab bekaboo honay ki nishaaniyaan hain

T~and all this happened with you

Dh~m also shocked... Rakshaso'n ko raat ki kaali chhaaya se ek khaas kisam ka pyaar hota hai, subah ki roshni un ko pasand nahi hoti, aksar rakshas raat he ko jaaga kartay hain. Rakshas ka dil andhere bhara aur mann maila hota hai, woh kabhi pyaar nahi kar paatay, aur jahan kar lein, wahan kamzor par jaatay hain. Ek rakshas ki zindagi amartva ki zindagi hoti hai, rakshas kabhi nahi marta, haan agar usay neend mein maar diya jaaye toh woh mar jata hai. Aur agar khud ke haath se khud ko maaray tab bhi mar jaata hai. Rakshas ko maarne ka teesra aur sab se mushkil tareek hai usay pyaar mein bekaboo kar ke maarna. Pari aur rakshas ke beech kattar dushmani hoti hai, lekin agar rakshas pari ka khoon pi le, toh woh maha shakti shaali ho jaata hai, agar rakshas aur pari ka milan ho jaaye, toh dharti par kayamat bhi aa sakti hai. Agar rakshas aur pari pyaar kar bhi lein, toh unhein maut di jaati hai aur insaan ban'ne ka shraapt mil jaata hai, dharti par rehte hain, apne premi ya premika se milte bhi hain lekin bas taraptay reh jaate hain, milan asambhav ho jaata hai. Aur agar kismat saath de, toh he shaktiyo'n ka aabhaas hota hai, warna woh zindagi bhar insaan ban kar jeete hain, ek doosre ke liye taraptay hain aur ek din mar jaatay hain, aur 7 janmo'n tak ye silsila jaari rehta hai.

The article came to an end.

T~is ka matlab ke tum ek rakshas ho?

Dh~haan, khoon ko dekh kar pagal ho jaana, raat ko pasand karna, janwar jaise daant achanak bahar nikalna, naakhuno'n ka bara hona, naso'n ka ubharna, sab hota hai mere saath, so now you and I know who am I.

T~aur ye sab mere saath hota nahi, isliye main koi rakshas nahi, pariyo'n ka rehasay parhtay hain.

Dh~okay

He searched "The mystery of fairies." Tara looked on curiously.

Comment