3~The First Meeting

An elderly lady entered a room with tea. She switched on the lights. The man in his early 30s shielded his face.

"Maa kya aap bhi? Mujhe abhi nahi uthna, please."

"Jaanti hoon Dhruv ke tujhe nahi uthna, lekin aaj toh uthna he ho ga, aaj tera meet up hai na teri chosen singing partner ke saath, toh chal ab uth, chai pi, fresh ho, baaki dino'n bhalay he teri good morning raat mein ho, lekin aaj nahi, aaj subah he good morning ho gi."

She said placing the tray on his bedside table, he sat up.

Dh~jee haan maa, woh kya hai ke mujhe na din ka ujaala bilkul nahi pasand, raat ki kaali chhaaya pasand hai bas sirf

He said in a serious tone.

" Kya bol raha hai? Rakshaso'n ko pasand hoti hai ye kaali chhaaya... Achha chal ye sab chhor, chai pi, main jab tak breakfast lagati hoon haan."

He nodded and she left to the kitchen. Just as she began to prepare breakfast, she startled as someone hugged her from behind. But then she smiled recognizing who is it.

Pr~Rishab jee, kya kar rahay hain? Ab hum koi newly married couple nahi hain, ek beta hai humara jo ke bara ho gaya hai

R~haan toh? Is age mein bhi romance khatam nahi hona chahiye

They smiled.

_______________________________________

A girl could be seen taking photographs of the sky.

"Tara Priya! Yaar ho gayi teri photos aasman ki? Bas bhi kar."

T~Khushi didi, pehli baat toh ye ke poora naam lene ki koi zaroorat nahi, ya toh Tara keh lo ya Priya, how does it matter? (they giggled) maa baba ne 2 naam rakh diye, aisay princess walay, I love my name. (Khushi nodded) waise aasman ki na main bari deewani hoon, dil karta hai aasman ko chhoo loon, aasman mein uroon, aur itni photos aasman ki isliye leti hoon, kiun ke aisa lagta hai ke baadalo'n ki is moti tayy ke us paar mera ghar ho jaise.

She said smiling dreamily at the sky.

K~kya bol rahi hai? Aasman ke uss paar toh maine suna tha pari lok hai, lekin Tara, woh toh bachpan ki baatein thi na?

T~but I still feel connected to it, aisa lagta hai aasman se mera purana rishta hai, really

K~achha okay chill. Achha chal warna tu late ho jaaye gi, tujhe Dhruv Saxena ne apna singing partner chuna hai yaar, toh chal pehli he meeting mein late mat ho ja, chal

They walked off from there.

_______________________________________

Khushi dropped off Tara to Dhruv's house. She entered the house. On the other side, Dhruv got a strange sensation in his chest.

Dh~ye kaisa ehsaas hai? Aisa ehsaas pehle kabhi nahi hua

He began to leave his room and descended the stairs and saw his parents talking to the girl basically Tara who he chose as his singing partner. Just as he came down, Tara's attention diverted to him. Their eyes got locked onto each other's. He forwarded his hand for a handshake.

Hulchul machi
Raahein saji

Dh~hi, Tara? (she nodded) Main Dhruv Saxena, your singing partner

Just as he said this, he got tears in his eyes and felt emotional while talking to her. She shook her hand with his and they felt a tingle of electricity within their hands.

T~hi, nice to see you Dhruv

Yeh hai galat
Ya sahi

Even she got tears in her eyes and felt emotional talking to him.

Dhruv thought : kya ehsaas hai ye? Kaisa ehsaas hai? Aisa ehsaas kabhi nahi hua pehle? Kaun hai ye jisay dekh kar itna emotional ho raha hoon main? Kya connection hai mera is ke saath?

Saansein meri
Bas mein nahi
Bas ho raha hoon
Bekaboo
Bekaboo karti hai mujhe tu aise kyun
Bekaboo karti hai mujhe tu aise kyun

Tara could hear him because of her fairy power and got shocked.

Tara thought: ye kya? Isay bhi wohi connection feel ho raha hai jo mujhe ho raha hai? Aur ye kaisi shakti hai mere paas ke main logo'n ko chhoo kar ke pata kar sakti hoon ke koi kya soch raha hai? Aur on top of that, is larkay se aaj main pehli baar mili aur aansu aa gaye aankh mein? Seriously kya connection hai mera aur is ka?

Prerna and Rishab saw them still holding hands and witnessed their eye lock.

Pr~(whispering) dono saath mein kitne pyaare lagtay hain na Rishab jee? Jaise ek doosre ke liye banay ho'n

Rishab nodded.

R~(whispering back) bilkul waise he jaise main tumhare liye aur tum mere liye?

She blushed and looked away, he cleared his throat and broke the eye lock of the duo. Dhruv and Tara looked away from each other.

Dh~maa, hum practice kar rahay hain room mein, no problem, right?

Pr~yeah sure

He showed Tara to his room. They settled down wiping their eyes from the fresh tears.

Dh~so tell me, kaun sa instrument achha baja leti ho?

T~sorry but, I only sing, har singer saath saath instrument toh nahi bajaata na

Dh~you're right, toh maine ye song list banaai hai jis par hum dono ga saktay hain, go through it hmm

She took the paper from him as he gave it to her, she looked through it and chose one.

T~this one, I think this is the best one

Dh~okay, let's do this

They began to sing.

T~Mana Kiya Maine Phir Bhi
Suni Na Toone Ek Meri

Mana Kiya Maine Phir Bhi
Suni Na Toone Ek Meri
Chala Hai Tu Karne Yaara
Wahi Jo Teri Hai Marzi

Mere Dil Tu Aa Tujhe
Dard Ab Na Mile

Ho Aaj Yoon Tujhe Milne
Mohabbat Aayi Hai
Lagta Hai Dil Teri
Shaamat Aayi Hai

Din Ka Chain Raaton Ki
Neendein Churayi Hai
Lagta Hai Dil Teri
Shaamat Aayi Hai

Dh~Humko Khabar Ab Hai Kahan
Jaane Kya Ho Raha Yahan
Jabse Mile Ho Tum Mujhe
Bann Gaye Ho Tum Hi Jahan

Aage Jaane Se Pehle Dil
Ik Dafa Soch Le

T~Aaj Yoon Tujhe Milne
Mohabbat Aayi Hai
Lagta Hai Dil Teri
Shaamat Aayi Hai

Ho Din Ka Chain Raaton Ki
Neendein Churayi Hai
Lagta Hai Dil Teri
Shaamat Aayi Hai

They ended the song there.

Dh~wow Tara, you're amazing, you'll set the stage on fire, you know sirf isi performance ke liye nahi, I am choosing you for all my performances, you have a magical voice seriously

T~thanks sir, (they shook hands and once again a tinge of electricity struck them) its a pleasure

_______________________________________

At night, Tara was coming back from a night walk and saw an injured dog and instantly felt pity for it. She approached it slowly and stooped down before it.

T~kya hua? Bohat chot aayi hai aap ko? (the dog whimpered, Tara calmed it caressing it slowly) aajao mere paas, main aap ko bilkul chot nahi pohnchaun gi, come here good doggy

The dog came to her, she touched his wounds and they healed within seconds, she gasped. The dog bowed his head before her as a respect and thanks and left from there.

T~ye kya chamatkaar hai?







The sky gave a loud thunder snapping her out of her thoughts and it began pouring, she stood up immediately covering her head with her dupatta and rushed towards home.

______________________________________

In pari lok, Sangram and pari maa watched everything through the magical mirror and got worried.

Pm~dekhiye na rakshaso'n ke raja, humari itni koshisho'n ke bawajood bhi Tamanna aur Daksh mil he gaye, hum toh Tamanna ke diye gaye shraapt ke kaaran dharti par bhi nahi ja saktay

Sn~aap rani pari hain, aap ka jaadu toh door se bhi kaam karta hai, mita dijiye Daksh aur Tamanna ki yaadaasht

Pm~rakshaso'n aur pariyo'n ki kattar dushmani zaroor hai, lekin jis tarha rakshaso'n ki yaadaasht mitaane wali shakti hum pariyo'n par kaam nahi karti, waise he humari ye shakti bhi rakshaso'n par kaam nahi karti, aur Tamanna ek pari hai, us ne punar janam liya hai, usay pichhle janam ka kuchh yaad nahi araha kiun ke hum ne usay shraapt diya tha, lekin hai toh woh ek pari he, bhalay usay apni shaktiyaan nahi yaad, lekin anjaane mein aaj us ne us ka prayog kiya hai, dheere dheere usay pata lag jaaye ga yahi darr hai, ek pari ka ye jadu doosri pari par bhi kaam nahi karta

Sn~toh kya karein? Baar baar main apnay Daksh ko aisay mrityu nahi dila sakta

Pm~baar baar main bhi apni Tamanna ko aisay mrityu nahi dila sakti

Sn~tamasha dekhne ke siwaye humare paas koi vikalp he nahi

Pari maa grew dull and sad.

Comment