Tilak fiasco

Story starts from the scene where Abhimanyu clears that he loves Akshara not Arohi

Arohi: Tumse meri khushi kabhi dekhi
nahi jati na. Humesha meri khushiya barbaad kar deti ho manhoos kahinki.

Manish: Arohi ye kya tareeka hua akshu see baat karne ka, bhulo mat ki wo tumhari badi behan hai, tameez se baat karo akshu se.

Suhasini: Ha Arohi issi wakt akshu se maafi maango, badtameezi ki bhi ek hadd hoti hai.

Akshu: rehne dijiye bade papa, Mimi bachi hai.

Manish: Nahi akshu badtameezi ke liye maafi toh ise maangni padegi.
(To Birlas): Hum Akshu aur Abhimanyu ka rishta manjur hai bas agar Akshu ko koi problem na ho to.

Arohi: Ye kya Abhimanyu se shadi karegi are ye to Abhimanyu ke kayak hi nahi hai, kaha Abhimanyu Birla itna Bada surgeon aur kaha ye gavar ladki jisse guitar bajane ke alawa aur kuch nahi aata.

Akshu : Aru ye tu kya bol rahi hai.

Arohi: Tum toh chup hi raho, sare fasaad ki jhad tum ho, tumhari maa ne meri maa ki importance cheenli aur tum bhi meri importance cheen rahi ho. Tumhari wajahse sab mujhe Sunna rahe hai, sab ko meri hi galti nazar aati hai. Dona maa-beti manhoos hain. Kaash tum bhi apni maa ke saath marjati.

(Akshu starts crying hearing all that, Abhi is consoling her. Suddenly                       someone gives Arohi a tight slap .         

Kaira Goenka

(Karthik Naira's first daughter who never died)

Kaira: Teri himmat kese hui Arohi mumma aur Akshi ko manhoos kehne ki. Aaj jo tune kiya hain uske baad Tum is ghar mein nahi reh sakti. Ek minute.
( Kaira goes to Arohi's room)

Arohi: Aap sab dekh kya rahe hai, Kaira did mujhe ghar see nikalne wali hai or sab chup hai.Koi kuch karta kyun nahi.

Suhasini: Sahi kar rahi he Kaira hum tumhari aur badtameeziya nahi sehen karsakte.

Swarna: Sudharne ke bahut make diye tumhe par Tum ho ke sudharne ka Naam hi nahi leti.(Kaira comes and starts to drag Arohi towards the main door)

Arohi: Di aap mujhe ghar see kese nikal sakti hain mein bhi aapki choti behan hoon.(To suhasini)Mimi aap toh roko na di ko.

Kaira : Nahi ho tum hamari behan. Tumhe toh  papa me adopt kiya that. Unhone Ranveer Uncle se promise kiya that ki woh Sirat aunty aur undono ke hone wale bache ka khyaal rakhenge isliye unhone Sirat aunty se shadi ki thi.

Arohi: Nahi aap jhut bol rahe hai main Arohi Karthik Goenka hun.

Akhil: Yeh sach hai Arohi Tum Arohi Karthik Goenka nahi balki Arohi Ranveer Chauhan ho Sirat aur Ranveer ki beti.

Kaira:Bas bahut hogaya tamasha ab niklo iss ghar se.

(Kaira Arohi ko ghasitke ghar se bahar fek deti hai aur uske mooh pe darwaja bandh kar deti hain aur Arohi waha se apni nani ke ghar jati hai)

Kaira: Akshu kya Tum Abhimanyu se pyaar karti ho?

Akshi: Ha Di mein Abhi se pyaar karti hu aur usse Shaadi karna chaati hu.

Everyone became happy and did Abhira's tilak.


Abhira happily got married in Jaipur

Comment