College

None of them spoke the whole way.


It was around midnight when they reached home.


Preeta: aaram se aana, agar humme kisi ne in bheege hui kapron mein dekh liya aur wo bhi itni raat ko, tu na jane kya soche ge.


Karan: sahi keh rhi ho tum. Chalo andar.


They both went inside on their tiptoes.  Thankfully no one was there. They reached infront of their rooms.


Karan: Good night


Preeta wanted to say something but decided not to.


Preeta: karan?


'Haan?, he said.


Preeta: Sorry. Wo mein ne tumhe zabardasti apne sath jaane k liye kaha


Karan: It's okay, babydoll.


(Smirks): Wo kya hai na the karan luthra hisab barabar kr k hi rehta hai. Chahe wo jab hi ho. So be ready for it,haan? You owe me.


Preeta: mein tumse apologize kr rhi hoon aur tum mujhe attitude show kr rhe ho. Tum se baat krna hi bekar hai.


Karan started going from there smiling.


'Bye,bye babydoll', he waves and went away.


Preeta(annoyingly):kitna badtameez hai yeh. Meri poori baat bhi nahi suni.


--------------


Next day all were eating breakfast when rakhi said: karan, tu aaj jaldi kese uth gaya?


Karan: mom wo bus uth gya then, giggles


Rakhi: yeh kesa jawab howa..


Preeta: choriye na ma, is ka tu dimaag hi kharab hai, seedhi baat ka jawab ulte tareeqe se deta hai.


Karan(pointing finger at her): hey, agar mera dimaag kharab hai tu tumhara tu dimaag hi nahi hai.


Rakhi(angrily): ab mein tum dono ko larte howe na dekhoon. Atleast nashta tu sahi se krlo.


Rakhi to preeta: beta tu college kab se join kr rhi hai?


Preeta: actually mein aaj hi jaon gi admission krwane k liye


Rakhi: ek kaam kro, karan hi k college mein krwalo apna admission. Aj hi uss k sath chali jao.


Karan(dropped food and said): what?! No way, yeh mere college  mein nahi ayegi.


Preeta: kiun, tumhara hai kya?


Karan: mein tumhein har waqt apne sath nahi rkh skta nahi tu jo thora dimaag bacha hai wo bhi khatam ho jaye ga.


Preeta(laughing): khatam kya? Already khatam hai.


Rakhi: karan, beta preeta ko aj apne sath le k jana aur mujhe koi arguments nahi chahiye.


Karan: theek hai, agar ap chahti hain tu aise hi sahi. Wese bhi mera last year hai, bus kuch hi din isse bardasht krna pare ga.


Preeta gave him winning looks.


Karan: acha mom, mein chalta hoon. Jisse aana hai wo aajaye.


Rakhi: preeta, beta tum jao.


They went outside.


None of them spoke the entire way.


They reached there.


Karan(annoyingly): chalo ab, office tk le jata hoon.


Preeta: aarhi hoon.


They were going towards office when every face of the college turned towards them and looking at preeta.


Karan saw this and then looked at preeta.


Karan: suno, mein office k bahar hoon. Jab free ho jao gi then I'll get you a cab. Of course join tu kal se kro gi na.


Preeta: nahi karan, mein chali jaon gi


Karan: jesa mein keh rha hoon wesa kro aur plz ab koi arguments nahi.


Preeta: theek hai.


After sometime she came out and karan took her outside and got her a cab.


Karan: jao aur puhunch k batana zaroor.


Preeta was looking at him confusingly. (In mind): is ko split personality disorder tu nahi hai? Subah mujh se jhagar rha tha aur abhi...


Karan flicks finger infront of her: kahan kho gyi? Jao meri class hai.


Preeta: haan ja hi rhi thi.


Karan: dumbo, huh


----------------


Karan reached home.


'Mom, bhook lagi hai,khana dijiye plz', he said.

Preeta brought food with her.


Karan looked at her; mom kahan hain?


Preeta: rakhi aur sarla ma shopping pe gye hain. Keh rhi thi k raat hojaye gi.


Karan(in some thought): hmm, thanks


Preeta looked at him & realized that something is worrying him. She decided to ask when karan said: preeta, kuch poochna hai?


Preeta came back to senses and said: haan wo,,umm,,tumhe koi pareshani hai, I mean koi baat hai jisse tum upset ho?


Karan(stammering): nahi,wo actually graduation hone wali hai na tu I'll miss my friends, its nothing(smiles)


Preeta(knew he was lying): phir theek hai,


She smiles and said: lekin agar koi bhi baat ho, tu mujhe batana. Mana k mein larti hoon but apne best friend ki baat tu sun skti hoon? Right?


Karan(laughs):  right.


Preeta: chalo ab khao aur kisi bhi cheez ki zaroorat hui tu mujhe bata dena.
Mujhe kal ki tayari bhi krni hai.


Karan: sure, I'll tell you.


When preeta left, he again thinking about something.


----------------


Do leave reviews🙂

Comment