Part 33

Sunrays tickled Bandana on her face & she opened her eyes. Sameeksha & Sara were sleeping on both sides of her. She looked everywhere. There was another door in their room. It was Nivi's room's door. That door was closed.


"Peshwinbai andar hi hai. " Bandana said as she stood up. "Sameeksha utho"


"Nai Sumedh. " Sameeksha said.


Bandana made a face.


"Sameeksha.. Agar raha nai ja raha uske bager toh jhgda kya kiya.? " She asked.


But Sameeksha didn't answered as she was sleeping. Someone knocked on Door.


Bandana opened it just to find Sumedh.


"Hi.. Good morning. " She said.


"Hi.. Sameeksha hai.? " Sumedh asked.


"So rahi hai. " Bandana answered.


"Koi baat nai.. Main use manane aya tha.. Par.. Anyways.. Tum se hi baat kar leta hoon.. Aao jara bahar. " There was a tinge of authority in his voice which Bandana didn't liked.


Both came out in corridor.


"Look.. Main janta hoon ki tum Dada se pyar karti ho.. But Aajoba kabhi bhi is rishte ke liye nai manenge.. Agar tumhari wajah se Nivi insecure ho rahi hai.. Then u shld be careful about ur behavior.. Yahi baat maine Amit se bhi kahi.. Main nai chahta ki shadi hone se pehle hi Dada aur Nivi me misunderstandings ho.. I hope u understand this. " Sumedh said.


"Chhote ho mujhse.. Phir kitni authority se baat kar rahe ho " Bandana said.


"Kyu ki tum abhi mere mahal me khadi ho.. Aur hamare ghar ke rishte bigadne me lagi ho.. " Sumedh replied.


Bandana looked away in anger.


"Tum ladki ho isliye main tamij me rehkar baat kar raha hoon.. And by all respect I request u to leave this place as soon as possible.. " Sumedh folded his hands in front of her.


"Kyu .? Itna gussa aa raha hai toh gusse se baat karo.. Respect se baat karne ki koi jaroorat nai. " Bandana said.


Sumedh chuckled.


"Agar aise baat karne ke sanskar hum pe hote toh main kab ka tumhe yaha se bahar nikal chuka hota.. Hamare sanskar hame aisa karne nai dete.. Aur Respect ki baat karo.. Toh wo aurat jo mere dad ki Rakhel hai.. Wo bhi samne aati hai toh bhi main aise hi baat karta hoon jaise abhi tumse ki . " Sumedh said.


"Get lost.. Meri najro se door ho jao. " Bandana gritted her teeth.


"Aur tum meri family aur iss mahal se door ho jao.. Main aakhri baar bol raha hoo .. Agli baar agar tumhari wajah se kuch galat hua.. Toh main apne sanskar bhulne pe majboor ho jaunga.. " Sumedh said & left.


******


Amit saw Digvijay's dad Madhav sitting in front of havan. He was standing in a gallery when Meera came there.


"Amit ho na tum ? " Meera asked.


Amit turned back & saw Meera. She was looking towards him with her eyes oozing with care & love.


"Haan. Aap.. Aarushi ki Aai hai na.? " Amit asked.


"Tumhe kaise pata chala.? " She asked.


"Aapka chehra dekh ke.. Aarushi same dikhti hai. " Amit said.


Meera smiled.


"Tum Digvijay ke dost ho.? " She asked.


"Actually Nahi.. Yaha bataya wahi hai sabko.. Par main Nivi ka dost hoon.. Aur Aarushi ka.. Nivi yaha aayi is wajah se Digvijay ne mujhe bulaya.. Warna.. Wo kabhi nai bulata. " Amit said awkwardly.


"Aisa kyu.? " Meera asked.


"Nai. Jane dete hai kyu yeh bate " Amit said.


"Nai nai.. Batao.. Aur tumhare hotho ke pas yeh kya jakhm hai.? " Meera asked in concern.


"Wo.. Digvijay ne do din pehle mujhe.. Thappad mara.. " Amit told.


"Kya..? Par kyu ? " Meera asked in shock.


"Use bahot se problems hai mujhse.. Main Nivi se baat karu use pasand nai ata.. Aur clg me bhi.. Main Student leader hoon.. Usme bhi bahot se problems hai.. " Amit told.


Meera kept listening.


"Main toh uski Aai se complaint kar raha hoon aisa ho raha hai. " Amit laughed.


"Aisa nai hai.. Main baat karungi Digvijay se.. " Meera said.


"Aap use batana mat ki maine bola.. Warna wapis naraj ho jayega. " Amit said.


"Nai bataungi.. " Meera agreed.


******


Aarushi opened her eyes. She saw everywhere. Randhir wasn't there. The room was also new fr her.


"Kaha so rahi thi main. " She said .


She remembered how Nivi & Bandana's cold war spoiled their mood. She sighed.


"Shadi ki aur suhagrat nai.. Acchi kismat hai meri. " She said sarcastically.


Aarushi removed the weeding neckpiece & came out of the room.


As soon as she came out of the room she saw Digvijay teaching Talwarbaji to Randhir. A smile came on her lips.


Digvijay gave up & sat down.


"Kya tum.. Tum acchi khasi chala leti ho.. Meri kya jaroorat hai. " Digvijay asked.


"Jaroorat hai.. Main toh sare basics bhi nai janta.. " Randhir said


"Main sikha doon.? " Aarushi came down from stairs to the place where they were practicing. "Aur kya Rani mahal me Talwar baji kar rahe ho.? "


"Ahh.. Yahi bacha hai apni ankho se dekhna.. Tum ise Talwar sikhao.. " Digvijay taunted.


"Matlab.? " Randhir asked.


"Matlab yeh.. Ki wo Royal hai.. Royal women hai.. Protocol ke anusar kisi non Royal insan ke sath Talwar baji nai kar sakti.. Unless war me self defense ki baat na ho.. " Digvijay told. "Aur Non Royal mard toh bilkul bhi nai.. Wo baki aurato ke satj chalta hai"


Randhir was listening this with widened mouth.


"Baap re. " He exclaimed. "Kai sari  bato pe restrictions hai tum pe toh. " He looked towards Aarushi.


"Wahi toh.. That's why i always say.. I will marry a non Royal. " Aarushi said in a flirty tone.


Randhir cocked his eyebrows. Digvijay hit Randhir on back with a wooden stick.


"Ouch.. Pagal ho.? " Randhir said.


"Mere samne chal raha hai sab.. Besharm dono.. Aarushi get lost from here.. " Digvijay said.


Aarushi started laughing.


"Mujhse itni jaldi piccha nai chudva sakta koi. " Aarushi winked & left from there.


******


"Bandana.. Tum yeh baat Sameeksha ko nai batane wali ho.. Sumedh ne waisi baat ki toh ki.. Pagal hai aisa soch ke jane do. " Sara said.


"Nahi.. Ab pani sir ke upar ja chuka hai.. In logone meri image ek aisi ladki ki bana rakhi hai jo Digvijay ko Nivi se chhinana chahti hai.. Jab ki main aisa kuch kar bhi nai rahi.. " Bandana said.


"Tum Sameeksha ko bologi toh wo Sumedh pe aur gussa ho jayegi. " Sara said...


"Main Sameeksha se nai.. Aarushi se baat karungi iss bareme.. " Bandana said.


"Dekho.. Digvijay ko bhool jao.. Nivi bahot jiddi hai.. Agar usne than liya hoga Digvijay se shadi karna toh wo karegi hi. " Sara said.


"Main double jiddi hoon phir. " Bandana said.


"Tum kya karogi.? " Sara asked.


"Kuch nai. " Bandana replied.


"Kuch na karo toh hi behtar hai. " Nivi who was standing at door said.


"Ek baar jiske sath rishta pakka hota hai.. Uss rishte ko akhri tak nibhane ke sanskar hai mujh pe.. Bich me ane wale sare toofano ke samne main dat ke khadi hoon. " Nivi said.


"Tum.. Sumedh ne aaj aisi hi bate ki.. Tum Royal ho kya.? " Bandana asked.


"Haan.. Half Royal hai wo.. Uski mom Royal hai. " Sara told.


Bandana sighed.


"Tum sab log ek jaise ho.. Sanskar.. Protocols.. Ethics.. Blah blah. " She said.


"Bhoolo mat ki tumhari Manisha (desire) bhi wahi hai.. In sab me se ek banana.. Digvijay toh jariya hai. " Nivi said.


Bandana gave an angry look to her.


"Aaj tak main chup hoon iska matlab yeh nai hai Nivi ki main hamesha chup rahungi.. Tum toh jara si bhi compatible nai ho Digvijay ko.. Tumhari kundali dekh ke kaha tha na.. Ki shadi ke ek saal ke andar hi tumhe Digvijay ko baccha dena hai.. Jo ki impossible hai.. Kar hi nai paogi tum.. Tum darti rahi toh Digvijay thodi der ke liye try karega tumhe manane ki.. Baad me.. " Bandana stopped.


"Baad me tum aaogi na unki jindagi me.. Acchi planning hai.. Par dusri biwi banogi toh Royal wala darja nai milega.. Tumhe bhi nai.. Aur tumhare baccho ko bhi nai.. " Nivi said.


Aarushi came there after she heard some noices.


"Tumne dusri baar mujhe yeh sunaya hai.. " Bandana angrily yelled.


"Toh tumhare lakshan hi aise Rakhel banane ke hai main kya karu.. " Nivi shouted.


Next second Bandana slapped Nivi.


Sara shouted. Nivi became shocked.


"Yeh hai tumhare sanskar.? Iss tarike se baat karti ho tum.? " Bandana asked.


"Bandana.. " Aarushi shouted loudly. "Dusri baar tumne Nivi ko thappad mara hai.. How dare u. "


Aarushi took Nivi in her embrace.


"Usne suna na kya kaha..? " Bandana asked.


"Bandana.. Abhi ke abhi.. Yaha se nikal jao.. Right now. " Aarushi said while patting on Nivi's back who was crying.


"Par Aarushi.. Bandana kyu jaye yaha se.? " Sameeksha came there.


"Kyu ki yeh koi bhi matter thik se handle nai kar payegi.. Tumhari itni himmat hi kaise hoti hai ki tum ispe haath uthao.. Wo bhi do baar..? Baar baar.. Maine bataya ki Bandana shant raho.. Matter thik se handle karo.. Par nai.. Har baat ko dil se lagake ise tamasha karna hota hai. Yeh Nivi.. Jise tumne mara.. Tumhe kabhi kisine sikhaya nai ki apne se umar me chhote logope atyachar nai karte.. Isse bada paap aur koi nai hota.. Tumhe isne galat kaha tha.. Toh tum uska jawab kuch galat bol ke deti.. Thappad maar ke nai.. " Aarushi said.


"Main poore waqt yaha thi Bandana.. Tumne bhi bahot kuch sunaya use.. " Sara said.


"Tum logoko Nivi ki galatiya dikhai kyu nai deti.? " Sameeksha asked.


"Aur tumhe Bandana kyu itni mahan lagti hai.? " Sara asked.


"Bas.. " Aarushi screamed. "Chup sab log.. Bandana.. Main tumhe bahot respect se bolti hoon.. Yaha se plz chali jao.. Plz.. " She said.


Bandana sighed.


"I am sry Nivi.. Iss thappad ke liye.. " She said. "Buri nai hoon main.. Aisi nai thi.. Sirf 8 dino me meri life itni change ho gyi hai.. "


"Hum baad me sab shant ho jayega tab milenge tumse.. Abhi ke liye jao.. Aur khabardar agar dada se mili jane se pehle toh.. Sara aur Sumedh tumhe gate tak chhodne aayenge.. " Aarushi declared.


Comment