telugu Wedding rituals

.
.
.
Mera mann kiya bolne ka..isliye bolri hu..hamare yaha mathlab telangana(hyderabad) mein jithni bi weddings meine attend ki hai..woh rituals mein bolna chaahungi..
.

Shaadi ke ek din pehle...var ko "pellikoduku"banaya jaatha hai..mathlab..var ko haldhi lagake ..snaan karaake ..naye kapde pehnaathe hai...var ke bagal mein chote var(thodupellikoduku-mathlab koyi chote bache(boy) ko bitaya jaatha hai) ...aur dhono ko haldhi lagthi hai..uske baadh guests aane lagthe hai..aur mithai dabba aur naye kapde laake ..shagun dethe hai....same vadhu ke saath bhi hotha hai..vadhu ke saath baitnewaali choti vadhu(thodupellikuturu bolthe hai)...
.

.
.next day morning na subeh hi vadhu ko ghar ke saamne mathlab hamare main door hotha hai uske aage..(almost ghar ke baahar) bitaake choti bride ke saath....yaar kuch karthe hai..mein tho bhool gayi..yaadh nahi aara..par kuch karthe hai yaha..uske baadh bath ke liye le jaathe hai..phir haldhi lagake....same thing var ke saath bhi hotha hai..uske ghar mein....hamare yaha tho var aur vadhu dhono ke muh poore yellow hothi thi haldhi lagalagaake..
.
.
.
Phir mandap mein
.
.
.
Pehle var apne poore parivaar ke saath bharaath lekar aatha hai..aur gate se mandap thak vadhu ka brother apne haatho se utaakar unhe mandap thak le aathe hai...pehle var pahunchtha hai..aur var ko kursi pe bitaathe hai..aur vadhu ki maa baap dhono milkar var ka pair dhothe hai paani se...
.
.
.
.
Aur peeche se vadhu ka choti bride ke saath laaya jaatha hai aur use var ke teek peeche neeche bitaathe hai...var aage chair par hotha hai..aur phir..vadhu ko reception mein jo saadi pehne ko hothi hai na..woh vadhu ko gale mein daalthe hai aur godh mein woh saadi phailaake ..usmein  rice grains(mixed with haldhi..and oil) ..saari suhaagan aurathe aakar 5 ya 3 baar dhono haatho se jithna bhi biyyam(rice ) aatha hai woh daalthe hai..aur fruits bhi..yaani godh bharai type....
.
.
.
.

aur uske baadh var ko vadhu ke teek aage ..dhono facing each other bait the hai..lekin beech mein ek pardha hotha..vadhu ke side unke parents ..aur var ke side unke parents bait the hai..aur beech mein rice(mixed haldhi) ka poora bagona(big bowl) lagaya jaatha hai..usmein var vadhu..aur unke parents ek doosre pe haath yaani palms rakthe hai.

.
.

.pandit kuch mantras boltha hai..aur yaha kuch kiya jaatha hai teek se yaadh nahi hai..haa isi rasm ko kanyadhaan bolthe hai.. ..uske baadh..jeera mixed with jaggery ek betel leaf pe rakhke pandit var aur vadhu dhono ko detha hai....var vadhu ke sar pe..aur vadhu var ke sar pe rakhthe hai ye cheez...iisse(jeelakarra bellam rasam) bolthe hai..yaha half shaadhi hogyi samjho...
.
.
.

yaha saare bujurg akshinthalu(rice mixed haldhi) apni haatho se var vadhu ke upar daalthe hai as aashirvaadh...uske baadh dhoni aoni jagah kade hothe hai aur ek doosre ke pair ko apne pairon se dhabaathe hai🤣

.uske baadh pardha hataathe hai..yaha thak hi hai choti bride and choti groom ka role..uske baadh var ko mangalsutra diya jaatha hai..(ye cheez dhaage ko haldhi lagakar banaya jaathi hai yaani string ko..aur woh string ki pendent ki tarah turmeric bulbs(pasupu kommulu) ko use karthe hai..) ...ye hai mangalsutra ..isse var vadhu ko 3 baar knots tie kartha hai...
.
.

.yaha bhi akshintalu daala jaatha hai...uske baadh..ye bada interesting game type hai...jo biyyam(rice mixed haldhi) woh bahuth saare kilos hotha hai..var vadhu jo ek doosre ke saamne baite hai..woh ek doosre par apne haatho se sar le ye rice lekar daalthe hai....

aur phir var apne haatho se vadhu ke toes pe silver se bani rings pehnaatha hai....

uske baadh dhono agal bagal bait the hai..aur phir agnikhund(hamare yaha tho agni khund nahi hotha hai..par waisa hi kuch create karke) uske 7 rounds ghoomthe hai..yaha..var ka dress ki chunri se vadhu ka pallu ko knot baandhthe hai..aur ye knot poora dhin rehtha hai...uske baadh ..pandit var aur vadhu ko lekar mandap se baahar aatha hai..aur sky mein arundathinakshatram dhikaatha hai..ye ek star hai..patha nahi woh dikhthi bi hai ya nahi par var vadhu ke haath pakadkar use dikhaatha hai...

.
.
.
Uske baadh chairs daalkar..var vadhu baitthe hai aur guests blessings dethe hai mandap mein aakar aur guests bhi...aisa hi poora dhin nikal jaatha hai..shaayadh 3 ya 4pm ko kaana kaaathe hai round table lagaaakar  ...aur 6 baje ghar jaake (vadhu ke ghar) ..reception ki saadi pehenkar woh apni ghar ki pooja karke...aur phir vidhaai lethi hai..(appaginthalu)...



aur yaha bharaath hota hai phirse..sab khushi se naachthe hai...poora 11 12 baje thak chaltha hai ye iske baadh var vadhu..sasural chale jaathe hai..
.
.
.
Mein tho ithna hi jaanthi.hu telugu ..any telugu people correct me if iam wrong☺

Comment