Episode 91 - My humble apology

The narration of the events continued,




U - Uskey baad, Sid kuch pareeshan tha. Pehley mujhe patha nahi tha ke kya hua. Uskey baad main Siyali se mila toh....


RING!! The bell rang indicating the period for over and now it was back to classes for Utkarsh and Angela. The two get up to leave,




Vi (childish) - You can't leave me. Aisa SidYali ke story pe to be continued nahi laga sakte. Class bunk karlo na!


A - Nahi. Economics hai. Woh chudail already mere khoon choosney mein tuli hai.


U - Tu itna udaas math ban. Lunch pe yahan aa'engey! Tab tak rest kar. Bye bye.




Angela and Utkarsh wave good-bye to a sad Vidurshi who waved them back. As they left, she took the blanket in her hand and laid on the bed covering her fully with the blanket.


----------------------------------------------------------------


As the bell for the lunch break rang, the students got out of the classroom. Utkarsh who forgot something turned back to the classroom and saw Niti standing few steps away from him. As the two stare at each other they remember their fight,




[Flash back resumes]


Niti and Utkarsh were sitting on the parapet of the corridor after the games period. Niti was talking about something seriously while Utkarsh had a blank expression on his face.




Ni (angry) - Aise kaise karsakte hain? Utkarsh? Tu sun bhi raha hai?


U (blank) - Huh? Kuch kehrahi thi?


Ni (angry) - Never mind.




Niti gets up angrily to leave. Utkarsh stops her and,




U - Sorry Niti. Buss dimaag mein kuch aur chal raha tha. I think Angela ki koi parishaani hai.


Ni (sad, angry) - Sirf Angela ki hi nahi Utkarsh, Meri bhi parishani hai. Aur tujhe woh nahi dikhraha hai? Jab se Warrior High aaye hain, tumhe main ya Meri problems ya Meri situations kuch dikhayi nahi dethi hai na. Naye dost aur pariwaar jo mil gaye. Ab merai koi ehmiyat nahi hai na?




Utkarsh looked frightfully at Niti as he didn't expect her to say or think of such things. But Niti continued,




Ni (sad, angry) - Kaash hum Warrior High aaye hi nahi hotey. Hum orphanage mein hi theek the.


U (shocked) - Tum aise kaise kehsakti ho Niti. (Angry) Tu jaanti hai ki maine yahan kya kuch paya hai.


Ni (sad) - Aur tu nahi jaanta hai ke maine kya kuch khoya hai. Aur yeh toh koi bhi kehsakta hai, ke Paane mein nahi khoney mein dard hai.




Niti walked away from Utkarsh who was so angry with Niti who just wished they never came to Warrior High the place where he finally felt belonged. Where he found his family.


[Flash back pauses]




Niti looking down at the floor tries to talk to Utkarsh,




Ni (guilty) - Utkarsh! Mujhe aisa nahi kehna chahiye tha. Main khush hoon ke hum Warrior high aaye. Aur Tumhe apna pariwaar mila. Main tumhare liye Sach mein bohat khush hoon.


U (angry) - Kya karney ki koshish kar rahi ho? Maafi maangne ki. Kya iss baat pe aaye hain ke tujhe mujhse maafi bhi maangna padraha hai? Aise waise dost hain kya hum?


Ni (crying) - Utkarsh!!




Niti looked up at Utkarsh with teary eyes as Utkarsh also got emotional,




U (emotional) - Ro kyun rahi hai?


Ni (crying) - Main ro nahi rahi hoon. Tu kyun ro raha hai?


U (crying) - Main bhi ro nahi raha hoon. Woh smart board ko bohat deyr ghoor raha tha na, isliye aankhon mein aasu aagaye!


Ni (crying) - Mujhe bhi.




They look around to see the other students staring at them as the walked by,




Ni (crying) - Kahin aur chalein.


Utkarsh noded his head as he wiped his eyes.


They sit near the tree where the trio usually hanged out and spoke,




U - Niti, tum please math sochna ke naye dost mile toh tujhe bhool jaa'onga!


Ni - Tujhe explain karney ki koi zaroorat nahi hai Utkarsh. Because I've come to realise something.


She looks at Utkarsh ready to tell her side of the tale,




[Flash back resumes]


Few days ago, Niti was waiting by the tree spot for a while. Charlie finally arrived bringing a smile on Niti's face.




Ni (acting cute) - Pichli baar tumne kaha agar agli baar late huye toh punishment le'ogey! Punishment dhoon?


Ch - Just this once. Next time hua toh punishment.


Ni - Fine. Late kyun huye?


Ch - Sid se baat kar raha tha!


Ni (surprised) - Sid se?




Niti was surprised to hear that Charlie was talking to Sid after the whole Boxing incident. Charlie sat next to her and told her about their little chat,




Ch - Yeh poora hafta career ki baath sunkey mere dimaag ka dahi bana hua tha. Mera koi idea hi nahi hai yaar. And strangely enough, Sid ke paas ek idea tha. Woh chahta hai ki hum dhono boxing ko seriously lein aur bohat saarey competition jeete national international level. Jab bada naam kamate hai, hum bhi ek boxing academy khollenge. Aur main bohat hi sure tha ke school ke baad toh Sid yaad bhi nahi rakhega mujhe. Par patha hai Sid ne kya kaha! "Hi bye waaley dost hi touch mein rehtey hain. Hum na hi Hi boltey hai ya Bye. Aur na hi out of touch. Agar huye bhi toh aisa nahi hai ke 2 din baath nahi ki toh teesrey din ajnabi lagey."


Ni - Dekha! Sid tumhe apna dost maanta hi raha. Buss tumhe laga ke nahi maan raha hai.


Ch - Arey meri kya galti hai? Kabhi Rohan. Kabhi Utkarsh. Kabhi... Vidyut.


Ni - So what? Life mein hum naye log se miltey hi rehtey hain. Aur dost banate rehte hain. Iska matlab yeh nahi hua ke ek mila aur doosra chod diya. Naya. Purana. Dost toh... (Thinking) Dost hotey hain na.




Niti was pulled into deep thoughts.


[Flash back pauses]




Ni - Angela sahi hai. Kissi aur ka problem suntey suntey kabhi apna problem bhi solve ho jaa'tha hai.


U - That is also right!




Utkarsh thought as Niti spoke maturely and intellectually,




Ni - Ek aur baat bhi realize huyi. Aisa kyun hai ke tu ne itni aasani se itna saarey dost banaliya aur woh bhi itne close friends. Bohat socha mainey. Aur tab baat samaj mein aayi. Jab pehli baar tumney Parth see dosti ki aur humse introduce karwaya, mere dimaag ne kaha "Aaah! Parth - Utkarsh ka dost" na ki "Aaah! Mera ek aur dost". Buss main nahi, aur bhi bohat log aisa hi sochtey hain. Charlie ko hi lelo. Rohan - Sid ka dost hai. Aur Ishaan Lucky aur Trish - woh log toh Rohan ke dost hain. Kehne ke liye hum sab Dost hain. Par andhar hi andhar, divided hain. Mujhe humesha laga ki Utkarsh nahi hai, main akeli hoon. Ab sochti hoon, toh main kabhi akeli thi hi nahi. Koi na koi mere saath zaroor tha. Maine bus unhe dekha nahi.


As she told Utkarsh, she remembered how Parth was sometimes accompanied her to the mess, how Lucky and she cracked jokes together, how Angela gave her advises in their dorm.




U - Mujhe buddha ki yaad aagayi..


Ni - Kya?


U (funny) - Haan. Unhon ne bhi ped ke nichey ka gyaan prap kiya the.




They laughed and started walking towards the corridor,




Ni - Tu Vidurshi see milney waala tha na?


U - Haan! Baad mein miloonga. Aaj main apni best Niti ke saath lunch jaa raha hoon.


Ni - Tum meri parwa math karo. (Cute, teasing) Mere aur bhi dost hain jinke saath main lunch kha sakti hoon.


U (cute) - Sachi?


Ni (cute) - Muchi. Aaj tu tere... I mean. Humarey bimaar dost Vidurshi ke saath khaley na.


U - Humarey! Inclusive! I like it.




They split to their own way and take few steps when Utkarsh turns back and,




U - Niti?


Niti turns back to respond to Utkarsh's call. Utkarsh walks fast to Niti with a smile on his face and hugs her tight,




Ni - Tu theek hai?


U - Haan. Bohaaaaaat khush hoon.




Niti hugs him back. They leave with a big smile on their faces happy that they had finally resolved their fight. Utkarsh's happiness has no bounds.


Utkarsh's PoV "So good! Aisa lagta hai ke aur bhi kuch acha hone waala hai."


----------------------------------------------------------------

Comment