Episode 54 : My Personal Hitler

Next evening, In some hotel in Mumbai, Sunaina was seen putting on headphone and laughing hearing something from Gautam's phone. Hearing this, Gautam and another intern stare at her,




G (tensed) - Su? Kya kar rahi ho? Log yahan kaam kar rahe hain aur tum yeh kya sun rahi ho?


Su - 2 din se lagataar kaam karke, Main stressed hoon. Aur stress mein mera dimaag kaam nahi karta. That's why main relax karney ki koshish kar rahi hoon. 15 minutes break.


G - Fine. Atleast aise zor zor se hasna bandh karo.


Su - Well. Funny hai toh hasoongi hi.




Gautam gets annoyed and continues giving arranging evidences while Sunaina resumes the voice note to listen,




[Flash back]


"Ouch" Rohan looked at the door to see Vidurshi sitting down (rather fell down) touching her back and giving painful looks. Rohan looks at her, and slowly burst into laughter. Vidurshi stared at him from the corner of her eyes and then stopped to give embarrassed cute looks.


Rohan was still sitting and laughing while Vidurshi still didn't get up from her fall.




Vi (cutely) - Hastey rahogey ya phir help bhi karogey.


Ro - Ya.




Rohan kept the books on the parapet and came to Vidurshi to help her stand. He helped her sit on a chair next to him.




Vi (in a funny tone) - Oww.. Dard ho raha hai.


Ro - Ghirogi toh dard hoga hi. Darwazey ke paas kar kya rahi thi tum?


Vi (in a funny tone) - Soch rahi thi ki andhar aa'oon ya nahi? Aah. Mummy. It's paining. Tum kya kar rahe ho?




Rohan takes his books and shows her.




Vi - Exams ke liye padh rahe ho?


Ro (sarcastic) - Nahi dekh raha hoon ki yeh Author ko duniya se kya problem hai.


Vi - Usually toh Library mein padtey ho na? Aaj music room mey?


Ro - Haan. Library mein na aaj crowd zyaada hai.


Vi - Crowd toh humesha hi zyaada hoti hai.


Ro - Yes. But humesha main apna kaam karta hoon aur crowd uska kaam. But these days, People randomly come to me and say (in a funny tone) "Hi Rohan" "Sup Rohan" "Kya pad rahe ho?" "Daadi kaisi hai tumhari?"




Vidurshi gives a confused look.




Ro - I know. Tumhe lag raha hoga "Yeh Rohan kya bad badaa raha hai. Yeh toh normal hai" Right?


Vi - Right.


Ro - Wrong. Because mere saath yeh kabhi nahi hota hai. Mere friends ke illava koi mere desk ke paas tak nahi aata hai. Dartey the mujse. Par ab dekho. I've become approachable. Mera ek image tah. (Filmy) Rohan Singhania. Naam suntey ki log darr se chupte the.




As Rohan spoke, Vidurshi gave a weird look .


PoV "Iska toh shuru ho gaya apney full name bolney ka drama. Rohan Singhania yeh. Rohan Singhania woh. Uff"




Ro - Ab dekho. Kisiko dar hi nahi hai. Doosron ko chodo, Tum tak darti nahi ho mujhse.


Vi (funny sound) - An?


Ro (teasing, serious) - Haan. Yaad hai tumhe pehley tum mujhse kitna darti thi. Mujhe dektey hi tumhari aankhein badi badi ho jaathi thi. (Immitating) 'Rohan mujhe please chod dho' kehkey roney lagti thi. Remember, 10th grade mein, Mujhe Basket Ball se hit karney ke baad poora din 'Sorry sorry'. Ab dekho, Main pad raha hoon aur tum mere paas betkey ajeeb ajeeb awaazein kar rahi ho?




Vidurshi opens her mouth in shock, gets up and stands in front of him.




Vi (shocked) - Seriously? Tumhe actually lagta hai ki pehley main tumse darti thi aur ab nahi darti? (Fast, walking to and fro) Rohan tumhe idea bhi hai? Agar iss poori school mein koi mujhe daratha hai toh, woh TUM ho. Even before joining school tumne mujhe itne dara diya tha ki main admission cancel karkey Dubai mein hi rehney ke baarey mein soch rahi thi. Yahan aaney ke baad bhi main tumse minimum 1 corridor ka distance maintain karti thi. Galti se bhi tum mere saamney aa jaatey toh mujhe hyper tension ho jaathi thi. Aur woh Basket ball ke incident ke baad mujhe laga maine apni grave khud khodli. Aur meri soul apney saari sins ki repend kar rahi thi. Aur ab tum mere dost ho, then also I freak out seeing you. Right now also, mujhe tumse baath karni thi aur itni baar practice bhi kiya. Then also, main muh open hi kar paa rahi hoon. Summarize karkey bolun toh you're like my Personal Hitler. Aur tumhe lagta hai ki main tumse darti nahi hoon. Wow. This is like telling......


Vidurshi thinks for a minute and turns towards Rohan who was giving a completely shocked look.




Vi (embarrassed) - Tum mera mazaak uda rahi the?


Ro (startled) - Actually. Plan toh woh hi tha. But ab khud mazaak ban gaya.


Vi - Sorry.


Ro (annoyed) - Yeh tumhara theek hai. Insult karo, baad mein sorry bolo. Hisaab bara bar right?




Vidurshi stood guilty as Rohan felt insulted.


[Flash back ends]




Advocate Bhagat Kapadia enters the room due to which the assistants get up while Sunaina was still laughing. Seeing her boss, She pauses the audio and stands in front of him with a sheepish look.




BK sir - It's ok Sunaina. Kaam ke beech mein thoda diversion toh chalta hai.


Su - I knew it sir. Aap zaroor understand kar lengey.


BK sir - Waise maine tum sab ke liye snacks order kiya. Come have it.




Few minutes later, as all of them were eating,




BK sir - Gautam? Tumhare phone mein aisi kaunsi joke hai ki Sunaina itna hasi aa rahi thi.


Su - Joke nahi hai papa. Uska hidden mike ki recordings hai. Inn sab ki life itni funny hai main toh has has ke pagal hi ho gayi. Gautam you are so lucky man. You get to work in Warrior High.


G - Lucky. Pagal ho. Woh school nahi daily soap lagta hai. God, kitni teen drama man. Main toh tang aa gaya.




Suddenly Gautam's phone vibrates seeing which Sunaina checks it.




Su - Gautam? Yeh kya.... Kal poori din ki recording add ho gayi hai. (Surprised) Ek minute. Woh chain ab tak Vidurshi ke paas hai. Tumne liya nahi?


G - Shit. Oh my god. Main toh. Shit.


BK sir - Gautam how can you be so careless? Maine tumhe pehle hi bathaya yeh mike rakhna was a bad idea. Tum problem mein pad saktey ho. You need to get it from that girl right away.


G - Ok.




Back in Warrior High, Shreya walks out of girl's dorm as Aditya sir calls her




Sh - Sir?


Adi - Gautam tumse kuch urgently baath karna chahta hai. Take.




He gives her his phone,




Sh - Hello Gautam. Thank god tumne..


G - Stop. Stop. Before you tell anything. Listen. Tumhe ek kaam karna padhega!


Sh - Kaisa kaam? Kya hua?




Gautam tells her what happened,




Sh (shocked) - Tumne kya kiya? Mike? Pagal ho gaye ho kya?


G - Listen Doll. Sirf tu hi meri help kar sakti hai. Phas gaya toh we're gone. Ek simple sa hi toh kaam hai.


Sh - Itna simple nahi hai. Vidurshi nahi degi.


G - Deygi nahi toh zabardasti lena. Kuch bhi karke leylena. Main already yahan bohat bade case mein fasa hoon. Mujhe ek aur problem mein nahi fasna hai yaar. Please huh. Yeh buss karlena.


Sh - But Gee,


G - What but? Maine tumhare liye kya nahi kiya? Aur tum, yeh bhi nahi kar sakti


Sh - Fine. Emotional blackmail math karo. Karlongi.


G - Ok great. Text me once it's done. Ok? Bye.


Sh - Bye.




Shreya looked concerned wondering how she was gonna do this simple secretive job.


------------------------------------------------------------------

Comment