Episode 49 : Baby Doll

Shreya was waving her bye to Gautam as he left the school campus. As the bike exited her sight, Shreya turned to be startled by Sid who was standing a breath away from her. She moved back in shock because of which her leg slipped the stairs and she fell back. Sid held her hand as she was about to fall. Shreya looks down and looks at Sid who smiled. Sid pulled her towards him and hugged her. But Shreya pushed him away and stared,


Sh - Idiot.


S - Idiot? Main toh thanks expect kar raha tha?


Sh (sarcastic) - Sorry, Thanks kiss liye? Zabardasti galey laaganey ke liye?


S - Tumhe girney se bachaney ke liye. Galey laaganey ke liye thanks ki zaroorat nahi hai.


Sh - Of course, Chota Sid toh ladkiyon ko galey laganey ke liye humesha ready hota hai.


Sid gives a embarrassed smile,


S - Woh toh hai. Ek minute, tumhe chote sid ke baarey mein kaise patha? (Teasing) Tum toh Siyali nahi ho na?


Sid keeps his hand on Shreya's shoulder which she dodges,


Sh - Zyaada intelligent banney ki koshish math karo. Tumharey baarey mein jaaney ke liye mujhe Siyali honey ki zaroorat nahi hai. Tumhara reputation toh poora school jaantha hai.


S (excited) - Tum MERE baarey mein patha laga rahi thi?


Shreya started rolling her eyes,


PoV "Pehli waali question ke liye toh prepared thi. But yeh. Kya bolun?"


S - Acha. Matlab tum mere baarey mein patha laga rahi thi.


Sh (angry) - Shut up!


As Shreya angrily walked away,


S (calls out) - Oye Baby doll. Yeh kaisa answer hua?


Shreya turns towards with a wide mouth and in shock as the other students who passed by stared at her. She walks towards him angrily,


Sh (angry) - Baby doll?


S - Acha hai na? 'Shreya' main tumhe bulaney nahi waala hoon. 'Siyali' toh tum bulaney nahi deyti. Toh kuch toh naanm chahiye communication purpose ke liye. Mainey bohat socha, "Darling" "Sweetie" "Baby" "Jaan" "Honey" But mujhe na unmey se kuch pasand nahi aaya. So Baby Doll. Naam kaisa laga?


Sh (angry) - Bilkul tumharey jaisa. Bakwas.


S - Aisa laga? Lagney dho. Par main toh aaj se tumhe aisey hi bulaney waala hoon. Sab ke saamney. (Teasing) Especially Gautam ki saamney.


Sh (angry) - How dare you?


She points her finger at Sid with an angry look. Sid moves her finger off his face and shakes his head making a sound with his mouth


S (teasing) - Ay Baby Doll, aisa point karney se kya hoga? You have a choice. Tum khud bholo ki main tumhe kaise bula'on?


Sh (irritated, childish) - I think 'Siyali' sahi hai.


S - So tum chahtey ho ki main tumhe Siyali bula'on right?


Shreya stares at him with a jerk.


S (dragging) - Right?


Sh - Right.


S - Toh ek baar test karley tey hai. Tum ja'o, (in a funny tone) main tumhe "Siyali" bula'oonga aur tum mudkey dekho'gi.


Sh (surprised) - Yeh kaisa test hua? This is so childish. Main yeh sab bilkul karney nahi waali hoon.


S - Then ok baby doll.


Sh (shouts) - Jaa rahi hoon.


Shreya stomps few steps while Sid laughs alone,


S (calls) - Siyali?


Shreya turns in slow motion with an epic annoyed look and a fake smile,


Sh - Yes Sid.


S - Very good Siyali.


Sid comes near Shreya and both of them start walking,


S - By the way, Tumhe video call karney mein main tumhari help kar sakta hoon.


Sh - Really? Kaise? Ek minute. Tumhe kaise patha hai ki main video call karna chahti thi? (Angry) Tum mere aur Gee ki baath chup ke sun rahe the? How dare you? Tumhe kabhi kissiney manners sikhaya nahi? Kissi aur ki personal baathein sunna bad manners hota hai.


S (shouts) - Excuse me. Tumhe kisney bathaya ki main chup chup ke sun raha tha? Itna hi personal tha toh koi sound proof kamrey mein jaake baath kar. Baath ki toh khuley aam corridor mein sab ke beech'o beech aur mujhe kehti ho ki mainey sunliya. Sirf mainey nahi, corridor ke saarey logon ne suna hoga.


Shreya calmed down and stared at Sid with guilt.


Sh - Sorry.


S - Sorry bhi aise ghoor ke hi bologi?


Shreya looked at Sid with a frowned look. Rohan walked into the corridor at that point and waved at Sid who smiled and waved back at him. As Sid was about to walk towards Rohan,


Sh - Tum jaa rahe ho? Listen, I'm sorry ok. Sach mein sorry. Tum please, aise math jao.


S (flirting) - I know tum chahtey ho ki main tumhari saath hi rahoon. Main bhi wahi toh chahta hoon. But kya karein? Poora din toh main tumhare saath baath nahi karsakta na.


Sh - Excuse me! Main buss kehrahi thi ki tum aise baat ko adhoori chodkey math ja'o. Tumhe kya laga? Ki main tumse baath karney ke liye mari jaa rahi hoon?


S - Fine. Fine. Birthday kab hai?


Sh - Kal.


S - Toh kal break fast jaldi khatam karkey library ke paas aa jaana.


Sh - Library? Par wahan hum kya karengey?


S - Tumhe jawaab chahiye ya help?


Sh - Fine. Aa jaa'ongi.


She walks away with a right side smirk while Rohan walks towards Sid,


Ro - Kya chal raha hai Bro?


S - Same old Same old. Siyali.


Ro - You mean Shreya?


S - I mean Siyali. Usney khud kaha hai ki usse Siyali naam se bula'on.


Ro - Really? Aisi kaunsi cheez se tumne usse black mail kiya?


S - Mainey buss kaha ki main usse sab ke saamney Baby Doll bula'onga. Especially Gautam ke saamney.


Rohan looks at Sid with a suspicious smile,


S - Har insaan ka ek weak point hota hai. Aur Siyali ka - Gautam.


Ro - But jab bhi woh dhono ko saath dektey tey, mujhe toh tumse ek jalney waala bu aatha tha.


S (in a funny tone) - Abhi bhi aa'ega.


Both of them laugh.


S - Jab bhi Gautam ko Siyali ke paas dikhta hoon, man karta hai ki woh Gautam ka sar thod dhoon. Woh doll bula'ega toh koi problem nahi but main bula'oon toh... Woh dhono jitney bhi close ho, phir bhi yeh Siyali Gautam se darti bohat hai. Pehley toh mujhe uski behaviour bohat hi strange lagi. Humesha hi mujse gusse mein rehti hai. But jab Gautam school mein hota hai uske gussey ka level alag hi hota hai. Baath bhi nahi karti hai. Mere taraf dekti bhi nahi. Aisa react karti hai jaise ki main iss galaxy mein hi nahi hoon. But jab Gautam yahan nahi hota hai, tab toh gussa karti hai. But woh pyaara sa gussa.


Rohan gives a weird look at Sid with a funny facial expression.


S - Chod yaar tu nahi samjega. Mujhe na uss Gautam kuch theek nahi lagta hai. I think usney Siyali ko kidnap karkey Shreya banakey yahan le aaya hai.


Rohan wasn't listening to what Sid was saying. He was deep in thoughts, he remembered,.


[Flash back]


L - Arey! Tum dono ladna math. Chodo na. Waise bhi, yeh Gautam sir na kahin dekha hua lag rahey hai.


T - Ya! Same feelings.


--------------------------------


Rohan is seen walking through the corridor when he hears the juniors speaking,


Me - Jitna maine dekha, Siyali is talk of the town. Sab jagah wahi story. Itna bhi interesting nahi hai.


Y - Really? Kitni school mein yeh sab hota? Interesting nahi hai? Sirf students nahi, teachers bhi issi ke baarey mein baath kar rahe hai.


Ro - Teachers bhi?


Y - Haan. Woh Gautam sir hai na, woh sab se pooch rahe tey.


--------------------------------


In the airport,


G - Matlab, someone is trying to close the case.


All of them look at each while Gautam gets up and walks away.


[Flash back ends]


Sid is seen practicing boxing in the gym while Rohan was thinking about all this while he did push ups.


-----------------------------------------------------------

Comment