Episode 3 : Cross to bear

Kajol was smirking at the photo when she hears the sound of someone opening the door. She turns to see Utkarsh walk out of the bathroom with only a towel. He looks at her and,


U (embarrassed) - Yeh? Tu yahan kya kar rahi hai?


Kaj - Yeh Sid ka room hai. Tum yahan kya kar rahe ho?


U - Mere room mein heater nahi kaam kar raha tha.


Seeing Utkarsh very uncomfortable and clumsy,


Kaj (with attitude) - Oh Please! Pehley kuch pehen ke aa'o phir hum baat karengey.


Utkarsh gives a stare, walks slowly till the door and runs away. Kajol gives a annoying look as he leaves. She starts walking around the room seeing all the things when she comes across a ring. She picks it up and


PoV "Lagta hai yeh Sid ke ring ka doosra pair hai" She smiles and was going to put it in her hand when,


U - Kya kar rahi ho?


Kaj - Hmm?


Kajol turns towards Utkarsh along with the ring in her hand.


U - Woh Siyali ki ring hai. Usse wapas dey do!


Kaj (irritated) - Siyali ka!? Toh yeh yahan kya kar raha hai? It should he out of here. Just how she's out of his life.


She was going to throw it away when,


Kaj (with attitude) - Ek min! Ab toh uskey badley mein main aa gayi. So this should be with me. Don't you think?


U (annoyed) - Tumhe patha bhi hai ke tum kitni stupid ho!? Tum? aur Siyali ke jagaah mein? Dimaag kharaab hai tera.


Kaj (with attitude) - Uski jagaah? Please! I'm so much better for Sid. Tumhe bhi toh aisa hi lag raha hoga. That's why YOU of all the people invited me to Goa. Kyun?


U (sarcastic) - Sochtey hi rehna!


Kaj - Toh kyun mujhe bulaya!


U - Kyun ke sid tumhe pasand nahi karta hai. Aur har baar jab tum uskey paas aati ho, woh bhaagta hai. (Emotional) Aur mujhe laga, tumse bhaagte bhaagte Siyali ki maut ki guilt se bahar aayega. Aur koi reason tha. (Serious) Aur tumse bhi kehta hoon, just because Maa ko lagta hai ke tum Sid ke liye theek ho matlab nahi hai ke tum ho. Last mein tumharahi di tootey ga.


Kaj - Hogayi?


U - But ab woh ring wapas dey do. Nahi toh.... you'll have to deal with Sid


Kaj - I'll deal with him Girl friend hoon uski. He'll want me to have it.


She smiles seeing the ring while Utkarsh stared at her angrily.


Kaj - Acha! Ab batha'o. Sid kahan hai?


As Utkarsh was staring, his phone rings. He looks at it and sees Angela's name on the phone. He gives a fake smile and,


U (sarcastic) - Girl friend ho na Sid ki! Tumhe patha hi hoga woh kahan hai. Excuse me.


He gives an irritated look and walks away from the room leaving an annoyed Kajol.


A - Hey Utkarsh! Kaise ho?


U - Angela. Hum kal hi toh miley teh. Waise ka waise hi rahoonga na.


A - Tum theek ho? Itna irritated kyun lag rahe ho?


U (irritated) - Aisa kuch nahi hai. Ek min. Ek aur call aa raha hai.


Utkarsh sees his phone and,


U - Krissan ka. Ek min.


He puts them of conference and,


K - Hai baby. I miss you so much. Lagta hai ke saalon beet gaye.


A - Ya ya! Before you get all Mushi. Main bhi hoon.


K - Angela?


U - Conference mein ho tum log.


K - Oh! Hi.


U - So kaise call karna hua?


A - Well. Haal chaal pochney ke liye.


U - Acha! Koi improvement nahi hai. Sid waise ke waisa hi hai. Woh kya kehtey hain? WEIRD.


K - Aisa kya hua?


U - Main bathata hoon. Sid aur Rohan boxing match ke liye jaa rahe the. Aur,


[Flash back]


Sid and Rohan are seen walking out of Sid's house. Rohan climbs on his bike while Sid stood staring. Rohan realises this and,


Ro - 20 minute mein pohunchna hai


S (serious) - Bike mein jaa raha hai?


Rohan's Imagination (sarcastic) "Nahi. Hum flight pe jaa rahe hain. Aur yeh mere khud ka flight hai"


Ro (doubtful) - Haan


S (serious) - License hai tumharey paas?


Rohan's Imagination "Mere paas license kaise hoga? I'm 16"


Ro (doubtful) - Nahi.


S (serious) - License ke bina jaana theek nahi hai.


Sid walks towards the car and talks to his driver while Rohan gave a funny look. He sees Sid get into the car.


Ro (to himself) - Thank God. Yeh nahi kaha ke (imitates) "Helmet ke bina jaana theek hai"


He gets off the bike and walks towards the car with an annoyed look.


[Flash back ends]


Angela was laughing on the line imagining the incident.


A (laughing) - I can just imagine the whole incident.


K - Great conversation. Ek Rohan jo normal circumstances mein ek line se zyaada nahi bolega aur Sid jo ek line se zyaada bolna nahi chahta hai.


U - Mujhe toh lagta hai ki Rohan ke dimaag mein na woh khud se baath karta hai. Rehearsal conversation.


K - Woh toh main bhi karti hoon.


A - Main bhi. Especially before answering to Sid.


K - I have little imaginations in my head when i see that Kajol... Mann toh karta hai uska sarr phod doon. (Disappointed) But kar nahi sakti hoon na!


U (irritated) - Meri situation socho. Har din usse dekhna padta hai aur saath rehna padta hai. Sid sid karke aajaati hai. Abhi abhi ghar se gayi hai.


A - Acha. Iss liye irritated the?


U - Shayad. (Pauses) Ya phir Siyali ke wajahse.


K - I know. Sab se zyada tum aur Niti miss karte hongey na Siyali ko.


U - Miss? Are you kidding me? Bohat se bhi zyada! (Emotional) Siyali meri sirf dost nahi thi. Woh meri sab kuch thi. Mera pariwaar. Meri behan. Meri maa. Sab kuch. Bachpan se koi pariwaar tha toh sirf wahi thi. 1 din bhi nahi raha hoon uske bina aur ab, itney din.... Aur yeh sochke ki woh kabhi wapas nahi aaney waali hai. Siyali ko wapas paane ke liye mein kuch bhi karney ke liye tayaar hoon. Par woh wapas toh nahi aa sakti. Mujhe bohat dard hota hai aur mann karta hai ki cheek cheek ke ro loon par kya karun. Tab yaad aata hai ke mera ek bhai hai. Woh Siyali ko kuch hi mahinon se jaanta tha par woh bhi use utna hi pyaar karta hai jitna ke main pyaar karta hoon. Pyaar toh saalon se ya mahinon se toh patha chalta. Aur main kamzoor nahi pad sakta tha. My brother needed me.


There was a strange silence between. Tears rolled from Utkarsh's eyes.


U (mature) - Yeh duniya ki niyam jo hota hai na, bohat ajeeb hai. Kuch paana hai toh kuch aur khona padta hai. Just like Barter system. Kuch dho. Kuch lo. Mere saath bhi toh yeh hi ho raha hai. Ek pariwaar mila aur Doosra.. Chali gayi. (Fake laughs) Irritation toh hona hi hai.


Angela and Krissan were shedding tears in secret listening to all this. Along with Krissan and Angela there was one more who was listening to all this - Utkarsh's mom, Urmila maam.


-------------------------------------------------------


Sid is seen sitting in the locker room with an ice pack on his face when Rohan enters with folded hands and a stare. Sid turns towards Rohan, looks at him and turns back


Ro - Sid! Explain.


S - Explain what?


Ro - Ring mein jo hua. Uske baarey mein. Have you lost it Sid? Har round mein punch khana aur wapas khadey rehna? Aur ek bhi punch nahi maara tumne. Kar kya rahe ho?


S - Buss fight karne ka mood nahi tha!


Ro - Agar mood nahi tha toh participate hi nahi kartey ya phir pehle hi round mein knock out ho jaatey. All this? (Angry) Sid answer. Aur ek line waala jawab nahi chalega.


Sid was still giving no response and standing calm.


S - Usually, jab main kissi aur pe gussa hota toh punch karta. But ab jab khud pe naraz hun toh punch khana hi logic hai na.


Ro - That is such stupid logic.


S - No it's not.


Ro - Tumhe counselling ki zaroorat hai. You need Jaz.


Rohan takes his phone to call Jasmine when,


S - No! I need Siyali. And she's not coming back.


Saying so, Sid leaves the locker room leaving a guilty Rohan.


-------------------------------------------------------

Comment